Azhar Abbas
Ghazal 15
Sher-o-Shayari 10
hañsī mazāq kī bāteñ yahīñ pe ḳhatm huiiñ
ab is ke ba.ad kahānī rulāne vaalī hai
hansi mazaq ki baaten yahin pe KHatm huin
ab is ke baad kahani rulane wali hai
-
Share this
- See Ghazal
tū kahānī ke badalte hue manzar ko samajh
ḳhuun rote hue kirdār kī jānib mat dekh
tu kahani ke badalte hue manzar ko samajh
KHun rote hue kirdar ki jaanib mat dekh
-
Share this
- See Ghazal
jo rukāvaT thī hamārī raah kī
rāsta niklā usī dīvār se
jo rukawaT thi hamari rah ki
rasta nikla usi diwar se
-
Share this
- See Ghazal
akelā maiñ hī nahīñ jā rahā huuñ bastī se
ye raushnī bhī mire saath jaane vaalī hai
akela main hi nahin ja raha hun basti se
ye raushni bhi mere sath jaane wali hai
-
Share this
- See Ghazal
apne vīrāne kā nuqsān nahīñ chāhtā maiñ
ya.anī ab dūsrā insān nahīñ chāhtā maiñ
apne virane ka nuqsan nahin chahta main
yani ab dusra insan nahin chahta main
-
Share this
- See Ghazal