apne virane ka nuqsan nahin chahta main
apne vīrāne kā nuqsān nahīñ chāhtā maiñ
ya.anī ab dūsrā insān nahīñ chāhtā maiñ
kaT ga.ī jaisī bhī kaTnī thī yahāñ dhuup ke saath
ab kisī saa.e kā ehsān nahīñ chāhtā maiñ
mar rahā huuñ maiñ yahāñ aur vo kahtā hai mujhe
nā-mukammal tirā īmān nahīñ chāhtā maiñ
paas aa kar na baḌhā aur pareshānī-e-dil
phir kisī ishq kā sāmān nahīñ chāhtā maiñ
tū mohabbat meñ yūñhī jaan gañvā baiThegā
jā chalā jā ki tirī jaan nahīñ chāhtā maiñ
chāhtā huuñ ki yahāñ phuul khile hoñ har-sū
ya.anī ye jañg kā maidān nahīñ chāhtā maiñ
maiñ jo chup huuñ to use aap ġhanīmat jāneñ
dekhiye shahr meñ tūfān nahīñ chāhtā maiñ
apne virane ka nuqsan nahin chahta main
yani ab dusra insan nahin chahta main
kaT gai jaisi bhi kaTni thi yahan dhup ke sath
ab kisi sae ka ehsan nahin chahta main
mar raha hun main yahan aur wo kahta hai mujhe
na-mukammal tera iman nahin chahta main
pas aa kar na baDha aur pareshani-e-dil
phir kisi ishq ka saman nahin chahta main
tu mohabbat mein yunhi jaan ganwa baiThega
ja chala ja ki teri jaan nahin chahta main
chahta hun ki yahan phul khile hon har-su
yani ye jang ka maidan nahin chahta main
main jo chup hun to use aap ghanimat jaanen
dekhiye shahr mein tufan nahin chahta main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.