Alimullah Hali
Ghazal 9
Nazm 2
Sher-o-Shayari 4
ek āvāz ne toḌī hai ḳhamoshī merī
DhūñDhtā huuñ to pas-e-sāhil-e-shab kuchh bhī nahīñ
ek aawaz ne toDi hai KHamoshi meri
DhunDhta hun to pas-e-sahil-e-shab kuchh bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal
sadāoñ ke jañgal meñ vo ḳhāmushī hai
ki maiñ ne har āvāz terī sunī hai
sadaon ke jangal mein wo KHamushi hai
ki main ne har aawaz teri suni hai
-
Share this
- See Ghazal
koī patthar kā nishāñ rakh ke judā hoñ ham tum
jaane ye peḌ kis āñdhī meñ ukhaḌ jā.egā
koi patthar ka nishan rakh ke juda hon hum tum
jaane ye peD kis aandhi mein ukhaD jaega
-
Share this
- See Ghazal
bikhar ke chhūT na jā.ūñ tirī giraft se maiñ
sambhāl kar mujhe ai mauj-e-ḳhush-adā le jā
bikhar ke chhuT na jaun teri giraft se main
sambhaal kar mujhe ai mauj-e-KHush-ada le ja
-
Share this
- See Ghazal