us ka gham apni talab chhin ke le jaega
us kā ġham apnī talab chhīn ke le jā.egā
dard ban kar mirī rag rag meñ utar aa.egā
regzāroñ se pare kheñch rahā hai koī
jaane kas dasht meñ dariyā mujhe bhaTkā.egā
bhuul jā.ūñgā maiñ jab apnī navāoñ kī kasak
us kī āñkhoñ meñ lahū merā utar aa.egā
koī patthar kā nishāñ rakh ke judā hoñ ham tum
jaane ye peḌ kis āñdhī meñ ukhaḌ jā.egā
us ka gham apni talab chhin ke le jaega
dard ban kar meri rag rag mein utar aaega
regzaron se pare khench raha hai koi
jaane kas dasht mein dariya mujhe bhaTkaega
bhul jaunga main jab apni nawaon ki kasak
us ki aankhon mein lahu mera utar aaega
koi patthar ka nishan rakh ke juda hon hum tum
jaane ye peD kis aandhi mein ukhaD jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.