Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Kamran's Photo'

Ahmad Kamran

1976 | Okara, Pakistan

Ahmad Kamran

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 9

chāhiye hai mujhe inkār-e-mohabbat mire dost

lekin is meñ tirā inkār nahīñ chāhiye hai

chahiye hai mujhe inkar-e-mohabbat mere dost

lekin is mein tera inkar nahin chahiye hai

mirī vafā hai mire muñh pe haath rakkhe hue

sochtā hai ki kuchh bhī nahīñ samajhtā maiñ

meri wafa hai mere munh pe hath rakkhe hue

tu sochta hai ki kuchh bhi nahin samajhta main

chand peḌoñ ko majnūñ duā hotī hai

sab daraḳhtoñ pe to patthar nahīñ aayā kartā

chand peDon ko hi majnun ki dua hoti hai

sab daraKHton pe to patthar nahin aaya karta

raas aa.egī mohabbat us ko

jis se hote nahīñ va.ade puure

ras aaegi mohabbat us ko

jis se hote nahin wade pure

mujh pe tasvīr lagā ga.ī hai

kyā maiñ dīvār dikhā.ī diyā huuñ

mujh pe taswir laga di gai hai

kya main diwar dikhai diya hun

More Poets From "Okara"

 

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now