tu ziyaada mein se bahar nahin aaya karta
tū ziyāda meñ se bāhar nahīñ aayā kartā
maiñ ziyāda ko mayassar nahīñ aayā kartā
maiñ tirā vaqt huuñ aur ruuTh ke jaane lagā huuñ
rok le yaar maiñ jā kar nahīñ aayā kartā
ai palaT aane kī ḳhvāhish ye zarā dhyān meñ rakh
jañg se koī barābar nahīñ aayā kartā
chand peḌoñ ko hī majnūñ kī duā hotī hai
sab daraḳhtoñ pe to patthar nahīñ aayā kartā
ab mujāvir bhī qalandar se baḌe ho ga.e haiñ
ab mazāroñ pe kabūtar nahīñ aayā kartā
tu ziyaada mein se bahar nahin aaya karta
main ziyaada ko mayassar nahin aaya karta
main tera waqt hun aur ruTh ke jaane laga hun
rok le yar main ja kar nahin aaya karta
ai palaT aane ki KHwahish ye zara dhyan mein rakh
jang se koi barabar nahin aaya karta
chand peDon ko hi majnun ki dua hoti hai
sab daraKHton pe to patthar nahin aaya karta
ab mujawir bhi qalandar se baDe ho gae hain
ab mazaron pe kabutar nahin aaya karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.