Ahmad Kamal Parwazi
Ghazal 20
Sher-o-Shayari 19
mujh ko ma.alūm hai mahbūb-parastī kā azaab
der se chāñd nikalnā bhī ġhalat lagtā hai
mujh ko malum hai mahbub-parasti ka azab
der se chand nikalna bhi ghalat lagta hai
-
Share this
- See Ghazal
tujh se bichhḌūñ to tirī zaat kā hissa ho jā.ūñ
jis se martā huuñ usī zahr se achchhā ho jā.ūñ
tujh se bichhDun to teri zat ka hissa ho jaun
jis se marta hun usi zahr se achchha ho jaun
-
Share this
- See Ghazal
is qadar aap ke badle hue tevar haiñ ki maiñ
apnī hī chiiz uThāte hue Dar jaatā huuñ
is qadar aap ke badle hue tewar hain ki main
apni hi chiz uThate hue Dar jata hun
-
Share this
- See Ghazal
tum mire saath ho ye sach to nahīñ hai lekin
maiñ agar jhuuT na bolūñ to akelā ho jā.ūñ
tum mere sath ho ye sach to nahin hai lekin
main agar jhuT na bolun to akela ho jaun
-
Share this
- See Ghazal
vo apne husn kī ḳhairāt dene vaale haiñ
tamām jism ko kaasa banā ke chalnā hai
wo apne husn ki KHairaat dene wale hain
tamam jism ko kasa bana ke chalna hai
-
Share this
- See Ghazal