tujhse bichhDun to teri zat ka hissa ho jaun
tujh se bichhḌūñ to tirī zaat kā hissa ho jā.ūñ
jis se martā huuñ usī zahr se achchhā ho jā.ūñ
tum mire saath ho ye sach to nahīñ hai lekin
maiñ agar jhuuT na bolūñ to akelā ho jā.ūñ
maiñ tirī qaid ko taslīm to kartā huuñ magar
ye mire bas meñ nahīñ hai ki parinda ho jā.ūñ
aadmī ban ke bhaTakne meñ mazā aatā hai
maiñ ne sochā hī nahīñ thā ki farishta ho jā.ūñ
vo to andar kī udāsī ne bachāyā varna
un kī marzī to yahī thī ki shagufta ho jā.ūñ
tujh se bichhDun to teri zat ka hissa ho jaun
jis se marta hun usi zahr se achchha ho jaun
tum mere sath ho ye sach to nahin hai lekin
main agar jhuT na bolun to akela ho jaun
main teri qaid ko taslim to karta hun magar
ye mere bas mein nahin hai ki parinda ho jaun
aadmi ban ke bhaTakne mein maza aata hai
main ne socha hi nahin tha ki farishta ho jaun
wo to andar ki udasi ne bachaya warna
un ki marzi to yahi thi ki shagufta ho jaun
- Book : Chandi Ka waraq (Pg. 148)
- Author : Ahmad Kamal Parvazi
- Publication : Surkhwab Publication (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.