jine wale
kyā ḳhabar sub.h ke sitāre ko
hai use fursat-e-nazar kitnī
phailtī ḳhushbuoñ ko kyā ma.alūm
hai unheñ mohlat-e-safar kitnī
barq-e-betāb ko ḳhabar na huī
ki hai umr-e-dam-e-sharar kitnī
kabhī sochā na piine vaale ne
jaam meñ mai to hai magar kitnī
dekh saktī nahīñ ma.āl-e-bahār
garche nargis hai dīda-var kitnī
jaane kyā zindagī kī jāgtī aañkh
ho ga.ī us kī shab basar kitnī
sham-e-ḳhud-soz ko pata na chalā
duur hai manzil-e-sahar kitnī
muskurātī kalī ko is se ġharaz
ki hai umr us kī muḳhtasar kitnī
jiine vāloñ ko kaam jiine se
zindagī kā nizām jiine se
kya KHabar subh ke sitare ko
hai use fursat-e-nazar kitni
phailti KHushbuon ko kya malum
hai unhen mohlat-e-safar kitni
barq-e-betab ko KHabar na hui
ki hai umr-e-dam-e-sharar kitni
kabhi socha na pine wale ne
jam mein mai to hai magar kitni
dekh sakti nahin maal-e-bahaar
garche nargis hai dida-war kitni
jaane kya zindagi ki jagti aankh
ho gai us ki shab basar kitni
sham-e-KHud-soz ko pata na chala
dur hai manzil-e-sahar kitni
muskuraati kali ko is se gharaz
ki hai umr us ki muKHtasar kitni
jine walon ko kaam jine se
zindagi ka nizam jine se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.