urdu
urdu hai mirā naam maiñ 'ḳhusrav' kī pahelī
maiñ 'mīr' kī hamrāz huuñ 'ġhālib' kī sahelī
dakkan ke 'valī' ne mujhe godī meñ khelāyā
'saudā' ke qasīdoñ ne mirā husn baḌhāyā
hai 'mīr' kī azmat ki mujhe chalnā sikhāyā
maiñ daaġh ke āñgan meñ khilī ban ke chamelī
urdu hai mirā naam maiñ 'ḳhusrav' kī pahelī
'ġhālib' ne bulandī kā safar mujh ko sikhāyā
'hālī' ne muravvat kā sabaq yaad dilāyā
'iqbāl' ne ā.īna-e-haq mujh ko dikhāyā
'momin' ne sajā.ī mire ḳhvāboñ kī havelī
urdu hai mirā naam maiñ 'ḳhusrav' kī pahelī
hai 'zauq' kī azmat ki diye mujh ko sahāre
'chakbast' kī ulfat ne mire ḳhvāb sañvāre
'fānī' ne sajā.e mirī palkoñ pe sitāre
'akbar' ne rachā.ī mirī be-rañg hathelī
urdu hai mirā naam maiñ 'ḳhusrav' kī pahelī
kyuuñ mujh ko banāte ho ta.assub kā nishāna
maiñ ne to kabhī ḳhud ko musalmāñ nahīñ maanā
dekhā thā kabhī maiñ ne bhī ḳhushiyoñ kā zamāna
apne hī vatan meñ huuñ magar aaj akelī
urdu hai mirā naam maiñ 'ḳhusrav' kī pahelī
urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli
main 'mir' ki hamraaz hun 'ghaalib' ki saheli
dakkan ke 'wali' ne mujhe godi mein khelaya
'sauda' ke qasidon ne mera husn baDhaya
hai 'mir' ki azmat ki mujhe chalna sikhaya
main dagh ke aangan mein khili ban ke chameli
urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli
'ghaalib' ne bulandi ka safar mujh ko sikhaya
'haali' ne murawwat ka sabaq yaad dilaya
'iqbaal' ne aaina-e-haq mujh ko dikhaya
'momin' ne sajai mere KHwabon ki haweli
urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli
hai 'zauq' ki azmat ki diye mujh ko sahaare
'chakbast' ki ulfat ne mere KHwab sanware
'fani' ne sajae meri palkon pe sitare
'akbar' ne rachai meri be-rang hatheli
urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli
kyun mujh ko banate ho tassub ka nishana
main ne to kabhi KHud ko musalman nahin mana
dekha tha kabhi main ne bhi KHushiyon ka zamana
apne hi watan mein hun magar aaj akeli
urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli
- Book : Rat Jage (Pg. 106)
- Author : Iqbal Ashhar
- Publication : Kitabi Duniya, Delhi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.