urdu
zabān-e-hind hai urdu to māthe kī shikan kyuuñ hai
vatan meñ be-vatan kyuuñ hai
mirī mazlūm urdu terī sāñsoñ meñ ghuTan kyuuñ hai
terā lahja mahaktā hai to lafzoñ meñ thakan kyuuñ hai
agar tū phuul hai to phuul meñ itnī chubhan kyuuñ hai
vatan meñ be-vatan kyuuñ hai
ye 'nanak' kī ye 'ḳhusrav' kī 'dayā-shañkar' kī bolī hai
ye dīvālī ye baisākhī ye īd-ul-fitr holī hai
magar ye dil kī dhaḌkan āj-kal dil kī jalan kyuuñ hai
vatan meñ be-vatan kyuuñ hai
ye nāzoñ kī palī thī 'mīr' ke 'ġhālib' ke āñgan meñ
jo sūraj ban ke chamkī thī kabhī mahloñ ke dāman meñ
vo shahzādī zabānoñ kī yahāñ be-anjuman kyuuñ hai
vatan meñ be-vatan kyuuñ hai
mohabbat kā sabhī elaan kar jaate haiñ mahfil meñ
ki is ke vāste jazba hai hamdardī kā har dil meñ
magar haq māñgne ke vaqt ye begāna-pan kyuuñ hai
vatan meñ be-vatan kyuuñ hai
ye doshīza jo bāzāroñ se iThlātī guzartī thī
laboñ kī nāzukī jis kī gulāboñ sī bikhartī thī
jo tahzīboñ ke sar kī oḌhnī thī ab kafan kyuuñ hai
vatan meñ be-vatan kyuuñ hai
mohabbat kā agar da.avā hai to is ko bachāo tum
jo va.ada kal kiyā thā aaj vo va.ada nibhāo tum
agar tum raam ho to phir ye rāvan kā chalan kyuuñ hai
vatan meñ be-vatan kyuuñ hai
zaban-e-hind hai urdu to mathe ki shikan kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
meri mazlum urdu teri sanson mein ghuTan kyun hai
tera lahja mahakta hai to lafzon mein thakan kyun hai
agar tu phul hai to phul mein itni chubhan kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
ye 'nanak' ki ye 'KHusraw' ki 'daya-shankar' ki boli hai
ye diwali ye baisakhi ye id-ul-fitr holi hai
magar ye dil ki dhaDkan aaj-kal dil ki jalan kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
ye nazon ki pali thi 'mir' ke 'ghaalib' ke aangan mein
jo suraj ban ke chamki thi kabhi mahlon ke daman mein
wo shahzadi zabanon ki yahan be-anjuman kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
mohabbat ka sabhi elan kar jate hain mahfil mein
ki is ke waste jazba hai hamdardi ka har dil mein
magar haq mangne ke waqt ye begana-pan kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
ye doshiza jo bazaron se iThlati guzarti thi
labon ki nazuki jis ki gulabon si bikharti thi
jo tahzibon ke sar ki oDhni thi ab kafan kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
mohabbat ka agar dawa hai to is ko bachao tum
jo wada kal kiya tha aaj wo wada nibhao tum
agar tum ram ho to phir ye rawan ka chalan kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.