main urdu zaban hun
maiñ urdu zabāñ huuñ
mujhe āryāoñ ne paalā
mirī asl hindostāñ hai
ki mere lahū se hī vedoñ kī āyāt likkhī ga.ī haiñ
ye raam aur siitā kī azmat ke qisse ramāyan-kathā.eñ
krishan aur rādhā ke rangīñ fasāne
har ik lafz kī ruuh naġhma-sarā hai
maiñ urdu zabāñ huuñ
vo gautam ki jis ne mohabbat kī paiġhambarī se jahannam ko jannat banāyā
magar kis zabāñ meñ
zarā sochiye kis zabāñ meñ
vo paalī jo mere gharāne kī paalī huī thī
maiñ urdu zabāñ huuñ
mujhe dekhnā chāhte ho to aao
ajantā elora ke ġhāroñ meñ dekho
ye maiñ huuñ
mirā husn merī kashish hai abad tak
mujhe dekhnā chāhte ho to aao
ashokā kī lāToñ meñ kanda hurūf-e-muqaddas meñ dekho
ye maiñ huuñ
sadāqat adālat kī tahrīr-e-mohkam
maiñ urdu zabāñ huuñ
mohabbat kī man-mohnī dāstāñ huuñ
mirī vus.ateñ be-karāñ haiñ
ye uttar ye dakhkhin ye pūrab ye pachchhim
har ik samt mere nishāñ haiñ
deccan jo kabhī rang-o-harf-o-adā aur chañg-o-sadā se banā ek qaus-e-quzah thā
tumheñ kuchh ḳhabar hai vo kyā silsila thā
mūarriḳh se pūchho vo merā hī jaadū mirā mo.ajiza thā
maiñ 'ḳhusrav' kī pyārī 'valī' kī niyārī 'qulī' kī dulārī
ḳhudā-e-suḳhan 'mīr' ke soz-e-pinhāñ kī maiñ rāzdāñ huuñ
vo dīvān-e-ġhālib vo shahkār-e-taḳhlīq-e-ādam
magar us kā har sher kahtā hai paiham
maiñ urdu zabāñ huuñ
vo 'iqbāl' jo azmat-e-ādamiyyat kā paiġhāmbar hai
lahū ke jumūd aur dil ke taġhāful kā jo nauhagar hai
vo jis kī nazar bāl-e-jibrīl kī ham-safar hai
vo jis kī sadā ḳhvāb-e-ġhaflat meñ bad-mast insāniyat ke liye ek bāñg-e-darā hai
vo jis kī ḳhudī daur-e-hāzir kī fir.auniyat ke liye bahr-e-qulzum ke sāhil pe zarb-e-kalīmī kī nemul-badal hai
vo jis ne dayār-e-ġhazal se lab-o-āriz-o-zulf jaise anāsir ko bāhar nikālā
vo 'iqbāl' bhī merī zulfoñ kā qaidī rahā hai
maiñ urdu zabāñ huuñ
vo 'āzād' āzādi-e-hind kā ek āshiq
vo 'āzād' jis kī fuġhāñ soz-o-mastī
vo 'āzād' jis kī sadā sāz-e-hastī
vo 'āzād' jis kā suḳhan qaul-e-faisal
magar qaul-e-faisal kā ye faisla hai
maiñ urdu zabāñ huuñ
maiñ tārīḳh-o-tahzīb-e-hindostāñ huuñ
maiñ hindostānī huuñ rashk-e-jahāñ huuñ
jahān-e-mohabbat kī maiñ pāsbāñ huuñ
magar pāsbān-e-vatan mujh ko ġhaddār kahne lage haiñ
to ġhaddār kahne kā matlab musalmāñ huuñ maiñ bhī
musalmān ya.anī ki dahshat jihālat ġhalāzat kī pahchān huuñ maiñ
ye pahchān merī ajab sāneha hai
magar sāneha mādar-e-hind kā hai ye merā nahīñ hai
maiñ kuchh bhī nahīñ huuñ
mujhe āryāoñ ne paalā
mirī asl hindostāñ hai
maiñ hindostānī huuñ hindostāñ huuñ
magar mere ahl-e-vatan mujh ko ġhaddār kahne lage haiñ
ba-zāhir to hai garche ye merī zillat
magar asl meñ mādar-e-hind kī hī ye ismat-darī hai
maiñ urdu zabāñ huuñ
mujhe āryāoñ ne paalā
mirī asl hindostāñ hai
main urdu zaban hun
mujhe aaryaon ne pala
meri asl hindostan hai
ki mere lahu se hi wedon ki aayat likkhi gai hain
ye ram aur sita ki azmat ke qisse ramayan-kathaen
krishan aur radha ke rangin fasane
har ek lafz ki ruh naghma-sara hai
main urdu zaban hun
wo gautam ki jis ne mohabbat ki paighambari se jahannam ko jannat banaya
magar kis zaban mein
zara sochiye kis zaban mein
wo pali jo mere gharane ki pali hui thi
main urdu zaban hun
mujhe dekhna chahte ho to aao
ajanta elora ke ghaaron mein dekho
ye main hun
mera husn meri kashish hai abad tak
mujhe dekhna chahte ho to aao
ashoka ki laTon mein kanda huruf-e-muqaddas mein dekho
ye main hun
sadaqat adalat ki tahrir-e-mohkam
main urdu zaban hun
mohabbat ki man-mohni dastan hun
meri wusaten be-karan hain
ye uttar ye dakhkhin ye purab ye pachchhim
har ek samt mere nishan hain
deccan jo kabhi rang-o-harf-o-ada aur chang-o-sada se bana ek qaus-e-quzah tha
tumhein kuchh KHabar hai wo kya silsila tha
muarriKH se puchho wo mera hi jadu mera moajiza tha
main 'KHusraw' ki pyari 'wali' ki niyari 'quli' ki dulari
KHuda-e-suKHan 'mir' ke soz-e-pinhan ki main raazdan hun
wo diwan-e-ghaalib wo shahkar-e-taKHliq-e-adam
magar us ka har sher kahta hai paiham
main urdu zaban hun
wo 'iqbaal' jo azmat-e-adamiyyat ka paighambar hai
lahu ke jumud aur dil ke taghaful ka jo nauhagar hai
wo jis ki nazar baal-e-jibril ki ham-safar hai
wo jis ki sada KHwab-e-ghaflat mein bad-mast insaniyat ke liye ek bang-e-dara hai
wo jis ki KHudi daur-e-hazir ki firauniyat ke liye bahr-e-qulzum ke sahil pe zarb-e-kalimi ki nemul-badal hai
wo jis ne dayar-e-ghazal se lab-o-ariz-o-zulf jaise anasir ko bahar nikala
wo 'iqbaal' bhi meri zulfon ka qaidi raha hai
main urdu zaban hun
wo 'azad' aazadi-e-hind ka ek aashiq
wo 'azad' jis ki fughan soz-o-masti
wo 'azad' jis ki sada saz-e-hasti
wo 'azad' jis ka suKHan qaul-e-faisal
magar qaul-e-faisal ka ye faisla hai
main urdu zaban hun
main tariKH-o-tahzib-e-hindostan hun
main hindostani hun rashk-e-jahan hun
jahan-e-mohabbat ki main pasban hun
magar pasban-e-watan mujh ko ghaddar kahne lage hain
to ghaddar kahne ka matlab musalman hun main bhi
musalman yani ki dahshat jihaalat ghalazat ki pahchan hun main
ye pahchan meri ajab saneha hai
magar saneha madar-e-hind ka hai ye mera nahin hai
main kuchh bhi nahin hun
mujhe aaryaon ne pala
meri asl hindostan hai
main hindostani hun hindostan hun
magar mere ahl-e-watan mujh ko ghaddar kahne lage hain
ba-zahir to hai garche ye meri zillat
magar asl mein madar-e-hind ki hi ye ismat-dari hai
main urdu zaban hun
mujhe aaryaon ne pala
meri asl hindostan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.