madrase ka ek hi kamra
master jī bāhar ga.e haiñ
master jī ga.e zarā bāhar
ab nazar kyā rahe kitāboñ par
dil hī dil meñ haiñ saare laḌke shaad
goyā qaidī the ab hue āzād
ab kitābeñ kahāñ sabaq kis kā
paḌhnā-vaḌhnā ḳhayāl se khiskā
ek hañstā hai ek gaatā hai
aur ik chuTkiyāñ bajātā hai
ek baiThe hī baiThe sotā hai
aur ik jhūT-mūT rotā hai
mashvare kar rahe haiñ do bāham
aao chupke se uTh ke chal deñ ham
ek goshe meñ goliyāñ kheleñ
yā ground meñ chal ke DañD peleñ
copy ik jald jald bhartā hai
dūsrā us se naqal kartā hai
ghar se laa.e nahīñ haiñ kar ke savāl
master jī se ab kareñge chaal
ik ne bāñdhā hai gaal par rūmāl
taaki pūchheñ na is se koī savāl
daaḌh ke dard kā bahānā hai
chhuTTī lenī hai ghar ko jaanā hai
saath bāteñ bhī hotī jaatī haiñ
shoḳh ghāteñ bhī hotī jaatī haiñ
ek kahtā hai nazm yaad nahīñ
master sāhab aa na jaa.eñ kahīñ
yuuñ hī Tarḳhā.ūñgā suneñge jab
ātā-vātā mujhe nahīñ matlab
ma.anī mujh ko sujhāte jaanā tum
chupke chupke batāte jaanā tum
aur geograph chup are chup kar
miim alif siin maas Te re Tar
master jī ke aa jaane par
jhaT mil ga.ī sab ko ḳhabar
aise ishāre ho ga.e
ustād kā muñh dekh kar
chup chaap saare ho ga.e
ab is tarah ḳhāmosh haiñ
goyā kabhī bole na the
āñkheñ uThā.ī hī na thiiñ
aur lab kabhī khole na the
ab haiñ kitābeñ sāmne
bāham nigah miltī nahīñ
haiñ bhāgne vaale bhī chup
ab un ko rah miltī nahīñ
ab daaḌh bhī dukhtī nahīñ
ab dard saarā tham gayā
haañ haath hai lekin vahīñ
goyā vahīñ par jam gayā
chehre kitāboñ se chhupe
saarī zabāneñ chup huiiñ
chuTkī vahīñ par rah ga.ī
siiTī kī tāneñ chup huiiñ
ab copiyāñ kam ho ga.iiñ
ab naql chal saktī nahīñ
ustād se goyā koī
ab aql chal saktī nahīñ
ye nanhe munne se jo haiñ
shoḳhī meñ hazrat ek haiñ
sūrat to dekho aap kī
goyā bahut hī nek haiñ
dil meñ sharārat hai bharī
dam saadh rakkhe haiñ magar
dekho phir in kī shoḳhiyāñ
ustād phir jaa.e agar
master ji bahar gae hain
master ji gae zara bahar
ab nazar kya rahe kitabon par
dil hi dil mein hain sare laDke shad
goya qaidi the ab hue aazad
ab kitaben kahan sabaq kis ka
paDhna-waDhna KHayal se khiska
ek hansta hai ek gata hai
aur ek chuTkiyan bajata hai
ek baiThe hi baiThe sota hai
aur ek jhuT-muT rota hai
mashware kar rahe hain do baham
aao chupke se uTh ke chal den hum
ek goshe mein goliyan khelen
ya ground mein chal ke DanD pelen
copy ek jald jald bharta hai
dusra us se naqal karta hai
ghar se lae nahin hain kar ke sawal
master ji se ab karenge chaal
ek ne bandha hai gal par rumal
taki puchhen na is se koi sawal
daDh ke dard ka bahana hai
chhuTTi leni hai ghar ko jaana hai
sath baaten bhi hoti jati hain
shoKH ghaten bhi hoti jati hain
ek kahta hai nazm yaad nahin
master sahab aa na jaen kahin
yun hi TarKHaunga sunenge jab
aata-wata mujhe nahin matlab
mani mujh ko sujhate jaana tum
chupke chupke batate jaana tum
aur geograph chup are chup kar
mim alif sin mas Te re Tar
master ji ke aa jaane par
jhaT mil gai sab ko KHabar
aise ishaare ho gae
ustad ka munh dekh kar
chup chap sare ho gae
ab is tarah KHamosh hain
goya kabhi bole na the
aankhen uThai hi na thin
aur lab kabhi khole na the
ab hain kitaben samne
baham nigah milti nahin
hain bhagne wale bhi chup
ab un ko rah milti nahin
ab daDh bhi dukhti nahin
ab dard sara tham gaya
han hath hai lekin wahin
goya wahin par jam gaya
chehre kitabon se chhupe
sari zabanen chup huin
chuTki wahin par rah gai
siTi ki tanen chup huin
ab copiyan kam ho gain
ab naql chal sakti nahin
ustad se goya koi
ab aql chal sakti nahin
ye nanhe munne se jo hain
shoKHi mein hazrat ek hain
surat to dekho aap ki
goya bahut hi nek hain
dil mein shararat hai bhari
dam sadh rakkhe hain magar
dekho phir in ki shoKHiyan
ustad phir jae agar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.