machhliyon ke master ji
nannhī ho tum bachchī ho tum
sab aql kī kachchī ho tum
aao mirī bāteñ suno
chāleñ suno ghāteñ suno
ustād kī har baat ko
apnī girah meñ bāñdh lo
jab tum javāñ ho jāogī
machhlī kī maañ ho jāogī
phir yaad ā.eñgī tumheñ
lahre dikhā.eñgī tumheñ
bāteñ hamārī machhliyo
ai pyārī pyārī machhliyo
rohū kī beTī kaan dhar
sāñval kī bachchī aa idhar
aur nannhī munnī tū bhī sun
o thun mathunnī tū bhī sun
chauḌe dahāne vāliyo
aur dum hilāne vāliyo
tum bhī suno chamkīliyo
ai kaalī niilī pīliyo
tum ko yahāñ par dekh kar
naddī pe aa jaa.e agar
koī shikārī machhliyo
ai pyārī pyārī machhliyo
jab vo kināre baiTh kar
Dorī ko pheñkegā idhar
nanhe se kāñTe par chaḌhā
hogā maze kā kechuā
lapkogī tum sab be-ḳhabar
ik tar nivāla jaan kar
kāñTā magar chubh jā.egā
bas halq meñ khub jā.egā
taḌpogī aur ghabrāogī
lekin sabhī phañs jāogī
tum baarī baarī machhliyo
ai pyārī pyārī machhliyo
jab kechuā khā jaao tum
bas lauT kar aa jaao tum
lekin zarā sā chheḌ do
kāñTe kī patlī Dor ko
sarkañDā jab khiñch aa.egā
dhokā shikārī khā.egā
samjhegā machhlī phañs ga.ī
khīñchegā bansī Dor kī
phir shakl us kī dekhnā
hotī hai kaisī dekhnā
vo be-qarārī machhliyo
ai pyārī pyārī machhliyo
ab vo bahut jhallā.egā
chīḳhegā aur chillā.egā
phir kechue par kechuā
kāñTe meñ bhartā jā.egā
tum bhī isī tarkīb se
khātī hī jaanā kechue
āḳhir shikārī haar kar
uThegā dil ko maar kar
hīla-garī rah jā.egī
saarī dharī rah jā.egī
thailī piTārī machhliyo
ai pyārī pyārī machhliyo
nannhi ho tum bachchi ho tum
sab aql ki kachchi ho tum
aao meri baaten suno
chaalen suno ghaten suno
ustad ki har baat ko
apni girah mein bandh lo
jab tum jawan ho jaogi
machhli ki man ho jaogi
phir yaad aaengi tumhein
lahre dikhaengi tumhein
baaten hamari machhliyo
ai pyari pyari machhliyo
rohu ki beTi kan dhar
sanwal ki bachchi aa idhar
aur nannhi munni tu bhi sun
o thun mathunni tu bhi sun
chauDe dahane waliyo
aur dum hilane waliyo
tum bhi suno chamkiliyo
ai kali nili piliyo
tum ko yahan par dekh kar
naddi pe aa jae agar
koi shikari machhliyo
ai pyari pyari machhliyo
jab wo kinare baiTh kar
Dori ko phenkega idhar
nanhe se kanTe par chaDha
hoga maze ka kechua
lapkogi tum sab be-KHabar
ek tar niwala jaan kar
kanTa magar chubh jaega
bas halq mein khub jaega
taDpogi aur ghabraogi
lekin sabhi phans jaogi
tum bari bari machhliyo
ai pyari pyari machhliyo
jab kechua kha jao tum
bas lauT kar aa jao tum
lekin zara sa chheD do
kanTe ki patli Dor ko
sarkanDa jab khinch aaega
dhoka shikari khaega
samjhega machhli phans gai
khinchega bansi Dor ki
phir shakl us ki dekhna
hoti hai kaisi dekhna
wo be-qarari machhliyo
ai pyari pyari machhliyo
ab wo bahut jhallaega
chiKHega aur chillaega
phir kechue par kechua
kanTe mein bharta jaega
tum bhi isi tarkib se
khati hi jaana kechue
aaKHir shikari haar kar
uThega dil ko mar kar
hila-gari rah jaegi
sari dhari rah jaegi
thaili piTari machhliyo
ai pyari pyari machhliyo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.