zamīn gūñgī ho rahī hai
parinde chup sādhe
ujḌī shāḳhoñ pe baiThe nauha-kunāñ haiñ
raat ke badan pe
niiñd ke pyāle auñdhe paḌe bilak rahe haiñ
auratoñ ke rahm meñ
zinda lāshoñ ke galne-saḌne se ta.affun phail rahā hai
ḳhvāb bastiyāñ ujaḌ rahī haiñ
samundaroñ ne dekhā
maut daañt nikostī dandanātī phirtī hai
buḌhiyā khiḌkī se jhāñkte chīḳhī
koī maz.hab
use lagām kyoñ nahīñ Dāltā
kaisī shutr-e-be-mahār huī phirtī hai
koī duā us kā galā kyoñ nahīñ ghoñTtī
is manhūs ko ta.avīz ghol kar pilāo
darbāroñ meñ jhāḌū detī
bevaqūf buḌhiyā
film kā vahī kirdār hiT hotā hai
jis ne
rehearsal kī ho
khiḌkī meñ sannāTā phail gayā
maut ne apnā giit jaarī rakhā
zamin gungi ho rahi hai
parinde chup sadhe
ujDi shaKHon pe baiThe nauha-kunan hain
raat ke badan pe
nind ke pyale aundhe paDe bilak rahe hain
auraton ke rahm mein
zinda lashon ke galne-saDne se taffun phail raha hai
KHwab bastiyan ujaD rahi hain
samundaron ne dekha
maut dant nikosti dandanati phirti hai
buDhiya khiDki se jhankte chiKHi
koi mazhab
use lagam kyon nahin Dalta
kaisi shutr-e-be-mahaar hui phirti hai
koi dua us ka gala kyon nahin ghonTti
is manhus ko tawiz ghol kar pilao
darbaron mein jhaDu deti
bewaquf buDhiya
film ka wahi kirdar hiT hota hai
jis ne
rehearsal ki ho
khiDki mein sannaTa phail gaya
maut ne apna git jari rakha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.