waba ke dinon mein maut ki rehearsal
tanhā.ī ke juute pahne
ham second-hand qabroñ meñ rah rahe haiñ
hameñ akele-pan kī mashīnoñ meñ Daal kar
sikhāyā jā rahā hai
ki maut se jañg ho jaa.e to
kamar par golī khā kar maidān se bhāgnā nahīñ hai
hamāre siine parcham kī tarah
lahrā rahe haiñ
barsāt kā mausam nahīñ
magar maut puurī shiddatoñ ke saath
tamām shahroñ par baras rahī hai
ham apnī apnī qabroñ meñ paḌe sochte haiñ
zindagī kī riyāzī meñ
faqat nafī kī mashqeñ kyoñ hotī haiñ
hamārī āñkheñ din bhar dīvāroñ par
sirf janāza-gāheñ painT kartī rahtī haiñ
agarche hamāre saath
kisī kī āñkheñ nahīñ jā.eñgī
na koī muskurāhaT
na alvidā'ī bosa
koī curfew jaisī maut bhī martā hai
aaj se pahle ye savāl
kahīñ paidā nahīñ huā thā
ham sirf apnī āñkhoñ se zinda rah kar
apne aap ko bātoñ meñ lagā.e hue haiñ
jaane kab ye rābta munqata.a ho
aur ham second-hand qabroñ se
plastic ke thailoñ meñ muntaqil ho jaa.eñ
tanhai ke jute pahne
hum second-hand qabron mein rah rahe hain
hamein akele-pan ki mashinon mein Dal kar
sikhaya ja raha hai
ki maut se jang ho jae to
kamar par goli kha kar maidan se bhagna nahin hai
hamare sine parcham ki tarah
lahra rahe hain
barsat ka mausam nahin
magar maut puri shiddaton ke sath
tamam shahron par baras rahi hai
hum apni apni qabron mein paDe sochte hain
zindagi ki riyazi mein
faqat nafi ki mashqen kyon hoti hain
hamari aankhen din bhar diwaron par
sirf janaza-gahen painT karti rahti hain
agarche hamare sath
kisi ki aankhen nahin jaengi
na koi muskurahaT
na alwida'i bosa
koi curfew jaisi maut bhi marta hai
aaj se pahle ye sawal
kahin paida nahin hua tha
hum sirf apni aankhon se zinda rah kar
apne aap ko baaton mein lagae hue hain
jaane kab ye rabta munqata ho
aur hum second-hand qabron se
plastic ke thailon mein muntaqil ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.