nazm
gharoñ meñ rahiye
vabā badan se nikal ke āñkhoñ tak aa ga.ī hai
huā ke tevar badal ga.e haiñ
parinde peḌoñ se Dar ga.e haiñ
hazāroñ insān mar ga.e haiñ
namāz-e-juma kā saarā manzar badal gayā hai
tavāf-e-ka.aba bhī ruk gayā hai
aur aisā lagtā hai
ye zamīñ ab ke apnī hujjat tamām karne meñ lag ga.ī hai
mire azīzo
ab aise mausam meñ
is vabā kā ilaaj vo hai
jo mere aaqā ne aaj se chaudah sadiyoñ pahle batā diyā thā
ki jo jahāñ hai vahīñ pe Thahre
sau yaad rakhiye
gharoñ meñ rahiye
qayām kiije
ki aisā karne se ain mumkin hai
aap lākhoñ hazāroñ jāneñ bachā ga.e huuñ
gharon mein rahiye
waba badan se nikal ke aankhon tak aa gai hai
hua ke tewar badal gae hain
parinde peDon se Dar gae hain
hazaron insan mar gae hain
namaz-e-juma ka sara manzar badal gaya hai
tawaf-e-kaba bhi ruk gaya hai
aur aisa lagta hai
ye zamin ab ke apni hujjat tamam karne mein lag gai hai
mere azizo
ab aise mausam mein
is waba ka ilaj wo hai
jo mere aaqa ne aaj se chaudah sadiyon pahle bata diya tha
ki jo jahan hai wahin pe Thahre
sau yaad rakhiye
gharon mein rahiye
qayam kije
ki aisa karne se ain mumkin hai
aap lakhon hazaron jaanen bacha gae hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.