la-tahzanu
vabā-e-ām se marne kā ḳhauf apnī jagah
kivāḌ khol ke dekho bahār aa.ī hai
guloñ se bharne lage asia ke lāla-zār
vo dekho ho ga.e europe ke āsmāñ shaffāf
bahut chamakne lagā hai hamārā sayyāra
parinde gaane lage haiñ havā.eñ ho ga.iiñ saaf
gharoñ ke sehnoñ meñ kilkāriyāñ haiñ bachchoñ kī
mohabbatoñ ke diye haiñ har ik shabistāñ meñ
vo dekho chuum rahā hai falak ko māh-e-tamām
abhī bhī ḳhvāb haiñ dāmān-e-nau-e-insāñ meñ
lahū meñ ḳhauf sahī dil meñ vasvase hī sahī
vabā se jañg ke ye roz-o-shab bure hī sahī
magar umiid kī lau phir se TimTimā.ī hai
kivāḌ khol ke dekho bahār aa.ī hai
waba-e-am se marne ka KHauf apni jagah
kiwaD khol ke dekho bahaar aai hai
gulon se bharne lage asia ke lala-zar
wo dekho ho gae europe ke aasman shaffaf
bahut chamakne laga hai hamara sayyara
parinde gane lage hain hawaen ho gain saf
gharon ke sehnon mein kilkariyan hain bachchon ki
mohabbaton ke diye hain har ek shabistan mein
wo dekho chum raha hai falak ko mah-e-tamam
abhi bhi KHwab hain daman-e-nau-e-insan mein
lahu mein KHauf sahi dil mein waswase hi sahi
waba se jang ke ye roz-o-shab bure hi sahi
magar umid ki lau phir se TimTimai hai
kiwaD khol ke dekho bahaar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.