Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaDe ki bahaaren

Nazeer Akbarabadi

jaDe ki bahaaren

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    jab maah aghan Dhaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe

    aur hañs hañs puus sambhaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe

    din jaldī jaldī chaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe

    aur paalā barf pighaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe

    chillā ġham Thoñk uchhaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe

    tan Thokar maar pichhāḌā ho aur dil se hotī ho kushtī

    thar-thar zor ukhāḌā ho bajtī ho sab battīsī

    ho shor phaphū hū-hū aur dhuum ho sī-sī sī-sī

    kalle pe kallā lag lag kar chaltī ho muñh meñ chakkī

    har daañt chane se daltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe

    har ek makāñ meñ sardī ne aa bāñdh diyā ho ye chakkar

    jo har dam kap-kap hotī ho har aan kaḌākaḌ aur thar-thar

    paiThī ho sardī rag rag meñ aur barf pighaltā ho patthar

    jhaḌ-bāñdh mahāvaT paḌtī ho aur tis par lahreñ le le kar

    sannāTā baav chaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe

    har chaar taraf se sardī ho aur sehn khulā ho koThe

    aur tan meñ niimā shabnam ho jis meñ ḳhas itr lagā

    chhiḌkāv huā ho paanī aur ḳhuub palañg bhī ho bhīgā

    hāthoñ meñ piyāla sharbat ho aage ik farrāsh khaḌā

    farrāsh bhī pañkhā jhaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe

    jab aisī sardī ho ai dil tab roz maze ghāteñ hoñ

    kuchh narm bichhaune maḳhmal ke kuchh aish lambī rāteñ hoñ

    mahbūb gale se lipTā ho aur kuhnī, chuTkī, lāteñ hoñ

    kuchh bose milte jaate hoñ kuchh mīThī mīThī bāteñ hoñ

    dil aish-o-tarab meñ paltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe

    ho farsh bichhā ġhālīchoñ aur parde chhoTe hoñ aa kar

    ik garm añgīThī jaltī ho aur sham.a ho raushan aur tis par

    vo dilbar, shoḳh, parī, chanchal, hai dhuum machī jis ghar ghar

    resham narm nihālī par sau nāz-o-adā se hañs hañs kar

    pahlū ke biich machaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe

    tarkīb banī ho majlis aur kāfir nāchne vaale hoñ

    muñh un ke chāñd ke TukḌe hoñ tan un ke ruuī ke gaale hoñ

    poshākeñ nāzuk rañgoñ aur oḌhe shaal do-shāle hoñ

    kuchh naach aur rañg dhūmeñ hoñ aish meñ ham matvāle hoñ

    piyāle par pyāla chaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe

    har ek makāñ ho ḳhalvat aur aish sab tayyārī ho

    vo jaan ki jis se ġhash ho sau naaz se aa jhankārī ho

    dil dekh 'nazīr' us chhab ko har aan adā par vaarī ho

    sab aish muhayyā ho aa kar jis jis armān baaī ho

    jab sab armān nikaltā ho tab dekh bahāreñ jaaḌe

    jab mah aghan ka Dhalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki

    aur hans hans pus sambhalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki

    din jaldi jaldi chalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki

    aur pala barf pighalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki

    chilla gham Thonk uchhalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki

    tan Thokar mar pichhaDa ho aur dil se hoti ho kushti si

    thar-thar ka zor ukhaDa ho bajti ho sab ki battisi

    ho shor phaphu hu-hu ka aur dhum ho si-si si-si ki

    kalle pe kalla lag lag kar chalti ho munh mein chakki si

    har dant chane se dalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki

    har ek makan mein sardi ne aa bandh diya ho ye chakkar

    jo har dam kap-kap hoti ho har aan kaDakaD aur thar-thar

    paiThi ho sardi rag rag mein aur barf pighalta ho patthar

    jhaD-bandh mahawaT paDti ho aur tis par lahren le le kar

    sannaTa baw ka chalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki

    har chaar taraf se sardi ho aur sehn khula ho koThe ka

    aur tan mein nima shabnam ka ho jis mein KHas ka itr laga

    chhiDkaw hua ho pani ka aur KHub palang bhi ho bhiga

    hathon mein piyala sharbat ka ho aage ek farrash khaDa

    farrash bhi pankha jhalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki

    jab aisi sardi ho ai dil tab roz maze ki ghaten hon

    kuchh narm bichhaune maKHmal ke kuchh aish ki lambi raaten hon

    mahbub gale se lipTa ho aur kuhni, chuTki, laten hon

    kuchh bose milte jate hon kuchh miThi miThi baaten hon

    dil aish-o-tarab mein palta ho tab dekh bahaaren jaDe ki

    ho farsh bichha ghaalichon ka aur parde chhoTe hon aa kar

    ek garm angiThi jalti ho aur shama ho raushan aur tis par

    wo dilbar, shoKH, pari, chanchal, hai dhum machi jis ki ghar ghar

    resham ki narm nihaali par sau naz-o-ada se hans hans kar

    pahlu ke bich machalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki

    tarkib bani ho majlis ki aur kafir nachne wale hon

    munh un ke chand ke TukDe hon tan un ke rui ke gale hon

    poshaken nazuk rangon ki aur oDhe shaal do-shaale hon

    kuchh nach aur rang ki dhumen hon aish mein hum matwale hon

    piyale par pyala chalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki

    har ek makan ho KHalwat ka aur aish ki sab tayyari ho

    wo jaan ki jis se ji ghash ho sau naz se aa jhankari ho

    dil dekh 'nazir' us ki chhab ko har aan ada par wari ho

    sab aish muhayya ho aa kar jis jis arman ki bai ho

    jab sab arman nikalta ho tab dekh bahaaren jaDe ki

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now