inkishaf
sar-e-bazm kal mujhe dekh kar
vo isī ḳhayāl se Dar ga.ī
ki maiñ us kī or havāoñ meñ
kahīñ apnā bosa uḌā na duuñ
vo simaT ke aur sañvar ga.ī
kuchh ajiib ḳhauf sā dil meñ thā
mujhe dekh kar vo palaT ga.ī
na to bhuul hai na to yaad hai
ye supurdagī kā tazād hai
vo khaḌe khaḌe jaise so ga.ī
vo tasavvurāt meñ kho ga.ī
vo tasavvurāt bhī ḳhuub the
maiñ daraḳht ban ke khaḌā rahā
to vo bel ban ke lipaT ga.ī
maiñ taras rahā thā sugandh ko
to vo shāḳh-e-gul sī lachak ga.ī
mirā jhūT-mūT kā nashsha thā
mujhe dekh kar vo bahak ga.ī
bas isī kā us ko malāl thā
ki vo ḳhvāb thā na ḳhayāl thā
phir achānak aa ke qarīb hī
kiyā jab kisī ne savāl to
vo jo soch thī vo bikhar ga.ī
maiñ samajh rahā thā ki ḳhush hai vo
magar us ko dekh ke yuuñ lagā
ki ye sochnā mirī bhuul thī
mujhe dekh kar vo malūl thī
sar-e-bazm kal mujhe dekh kar
wo isi KHayal se Dar gai
ki main us ki or hawaon mein
kahin apna bosa uDa na dun
wo simaT ke aur sanwar gai
kuchh ajib KHauf sa dil mein tha
mujhe dekh kar wo palaT gai
na to bhul hai na to yaad hai
ye supurdagi ka tazad hai
wo khaDe khaDe jaise so gai
wo tasawwuraat mein kho gai
wo tasawwuraat bhi KHub the
main daraKHt ban ke khaDa raha
to wo bel ban ke lipaT gai
main taras raha tha sugandh ko
to wo shaKH-e-gul si lachak gai
mera jhuT-muT ka nashsha tha
mujhe dekh kar wo bahak gai
bas isi ka us ko malal tha
ki wo KHwab tha na KHayal tha
phir achanak aa ke qarib hi
kiya jab kisi ne sawal to
wo jo soch thi wo bikhar gai
main samajh raha tha ki KHush hai wo
magar us ko dekh ke yun laga
ki ye sochna meri bhul thi
mujhe dekh kar wo malul thi
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 25)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.