ek ghair-alamti nazm
adhūrī laḌkiyo
tum apne kamroñ meñ purāne saal ke bosīda calender sajā kar sochtī ho
ye badan umroñ kī sāzish meñ na ā.eñge
tumheñ kis ne batāyā hai
ghaḌī kī sūiyoñ ko rokne se dauḌtā aur hāñptā sūraj misāl-e-naqsh-e-pā
aflāk par jam jā.egā
tumheñ ma.alūm hai uryāniyoñ ko Dhāñp kar tum aur uryāñ ho rahī ho
roz in āñkhoñ kī tikḌī meñ tumhāre jism tulte haiñ
har ik shab hostel meñ taash kī baazī meñ tum ko jiit kar ik jashn hotā hai
hamārī ḳhvāb-gāhoñ meñ tumhāre ḳhvāb raushan haiñ
chalī aao
ki bāhar barf hai
aur ab hameñ tum se judā bistar kahāñ taslīm karte haiñ
chalī aao ki umreñ rā.egāñ hone se bach jā.eñ!
adhuri laDkiyo
tum apne kamron mein purane sal ke bosida calender saja kar sochti ho
ye badan umron ki sazish mein na aaenge
tumhein kis ne bataya hai
ghaDi ki suiyon ko rokne se dauDta aur hanpta suraj misal-e-naqsh-e-pa
aflak par jam jaega
tumhein malum hai uryaniyon ko Dhanp kar tum aur uryan ho rahi ho
roz in aankhon ki tikDi mein tumhaare jism tulte hain
har ek shab hostel mein tash ki bazi mein tum ko jit kar ek jashn hota hai
hamari KHwab-gahon mein tumhaare KHwab raushan hain
chali aao
ki bahar barf hai
aur ab hamein tum se juda bistar kahan taslim karte hain
chali aao ki umren raegan hone se bach jaen!
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 39)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.