bahut dinon ki baat hai
bahut dinoñ kī baat hai
fazā ko yaad bhī nahīñ
ye baat aaj kī nahīñ
bahut dinoñ kī baat hai
shabāb par bahār thī
fazā bhī ḳhush-gavār thī
na jaane kyuuñ machal paḌā
maiñ apne ghar se chal paḌā
kisī ne mujh ko rok kar
tirī adā se Tok kar
kahā thā lauT aa.iye
mirī qism na jā.iye
na jā.iye na jā.iye
mujhe magar ḳhabar na thī
māhaul par nazar na thī
na jaane kyuuñ machal paḌā
maiñ apne ghar se chal paḌā
maiñ chal paḌā maiñ chal paḌā
maiñ shahar se phir aa gayā
ḳhayāl thā ki pā gayā
use jo mujh se duur thī
magar mirī zarūr thī
aur ik hasīn shaam ko
maiñ chal paḌā salām ko
galī kā rañg dekh kar
na.ī tarañg dekh kar
mujhe baḌī ḳhushī huī
maiñ kuchh isī ḳhushī meñ thā
kisī ne jhāñk kar kahā
parā.e ghar se jā.iye
mirī qism na aa.iye
na aa.iye na aa.iye
vahī hasīn shaam hai
bahār jis kā naam hai
chalā huuñ ghar ko chhoḌ kar
na jaane jā.ūñgā kidhar
koī nahīñ jo Tok kar
koī nahīñ jo rok kar
kahe ki lauT aa.iye
mirī qism na jā.iye
bahut dinoñ kī baat hai
fazā ko yaad bhī nahīñ
ye baat aaj kī nahīñ
bahut dinoñ kī baat hai
bahut dinon ki baat hai
faza ko yaad bhi nahin
ye baat aaj ki nahin
bahut dinon ki baat hai
shabab par bahaar thi
faza bhi KHush-gawar thi
na jaane kyun machal paDa
main apne ghar se chal paDa
kisi ne mujh ko rok kar
teri ada se Tok kar
kaha tha lauT aaiye
meri qism na jaiye
na jaiye na jaiye
mujhe magar KHabar na thi
mahaul par nazar na thi
na jaane kyun machal paDa
main apne ghar se chal paDa
main chal paDa main chal paDa
main shahar se phir aa gaya
KHayal tha ki pa gaya
use jo mujh se dur thi
magar meri zarur thi
aur ek hasin sham ko
main chal paDa salam ko
gali ka rang dekh kar
nai tarang dekh kar
mujhe baDi KHushi hui
main kuchh isi KHushi mein tha
kisi ne jhank kar kaha
parae ghar se jaiye
meri qism na aaiye
na aaiye na aaiye
wahi hasin sham hai
bahaar jis ka nam hai
chala hun ghar ko chhoD kar
na jaane jaunga kidhar
koi nahin jo Tok kar
koi nahin jo rok kar
kahe ki lauT aaiye
meri qism na jaiye
bahut dinon ki baat hai
faza ko yaad bhi nahin
ye baat aaj ki nahin
bahut dinon ki baat hai
- Book : Jagjit Chitra Ki Ghazlen (Pg. 113)
- Author : Jagjit Chitra
- Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.