mere pyare watan
mere vatan, pyāre vatan
rāhat ke gahvāre vatan
har dil ke ujyāre vatan
har aañkh ke taare vatan
gul-posh terī vādiyāñ
farhat-nishāñ rāhat-rasāñ
tere chaman-zāroñ pe hai
gulzār-e-jannat kā gumāñ
har shāḳh phūloñ kī chhaḌī
har naḳhl-e-tūbā hai yahāñ
kausar ke chashme jā-ba-jā
tasnīm har āb-e-ravāñ
har barg rūh-e-tāzgī
har phuul jān-e-gulsitāñ
har baaġh bāġh-e-dil-kashī
har baaġh bāġh-e-be-ḳhizāñ
dilkash charāgāheñ tirī
Dhoroñ ke jin meñ kārvāñ
anjum-sifat gulhā-e-nau
har taḳhta-e-gul āsmāñ
naqsh-e-surayyā jā-ba-jā
har har ravish ik kahkashāñ
terī bahāreñ dā.imī
terī bahāreñ jāvedāñ
tujh meñ hai rūh-e-zindagī
paiham ravāñ paiham davāñ
dariyā vo tere tund-ḳhū
jhīleñ vo terī be-karāñ
shām-e-avadh ke lab pe hai
husn-e-azal kī dāstāñ
kahtī hai rāz-e-sarmadī
sub.h-e-banaras kī zabāñ
uḌtā hai haft-aflāk par
un kār-ḳhānoñ kā dhuāñ
jin meñ haiñ lākhoñ mehnatī
san.at-garī ke pāsbāñ
terī banaras kī zarī
rashk-e-harīr-o-parniyāñ
bīdar kī fankārī meñ haiñ
san.at kī sab bārīkiyāñ
azmat tire iqbāl kī
tere pahāḌoñ se ayaañ
dariyāoñ kā pānī, tarī
taqdīs kā andāza-dāñ
kyā 'bhārteñdu' ne kiyā
gañgā kī lahroñ kā bayāñ
'iqbāl' aur chakbast haiñ
azmat ke terī naġhma-ḳhvāñ
'josh' o 'firāq' o 'pant' haiñ
tere adab ke tarjumāñ
'tulsī' o 'ḳhusrav' haiñ terī
tārīf meñ ratb-ul-lisāñ
gaate haiñ naġhma mil ke sab
ūñchā rahe terā nishāñ
mere vatan, pyāre vatan
rāhat ke gahvāre vatan
har dil ke ujiyāre vatan
har aañkh ke taare vatan
tere nazāroñ ke nagīñ
duniyā kī ḳhātam meñ nahīñ
saare jahāñ meñ muntaḳhab
kashmīr kī arz-e-hasīñ
fitrat kā rañgīñ mo.ajaza
firdaus bar-rū-e-zamīñ
firdaus bar-rū-e-zamīñ
haañ haañ hamīñ ast o hamīñ
sarsabz jis ke dasht haiñ
jis ke jabal haiñ surmagīñ
meve ba-kasrat haiñ jahāñ
shīrīñ misāl-e-añgbīñ
har za.afarāñ ke phuul meñ
aks-e-jamāl-e-hūra.īñ
vo mālve kī chāñdnī
gum jis meñ hoñ duniyā-o-dīñ
is ḳhitta-e-nairañg meñ
har ik fazā husn-āfrīñ
har shai meñ husn-e-zindagī
dilkash makāñ dilkash zamīñ
har mard mard-e-ḳhūb-rū
har ek aurat nāznīñ
vo taaj kī ḳhush-paikarī
har zāviye se dil-nashīñ
san.at-garoñ ke daur kī
ik yādgār-e-marmarīñ
hotī hai jo har shaam ko
faiz-e-shafaq se ahmarīñ
dariyā kī maujoñ se alag
yā ik bat-e-nazzāra-bīñ
yā tā.er-e-nūrī koī
parvāz karne ke qarīñ
yā ahl-e-duniyā se alag
ik ābid-e-uzlat-guzīñ
naqsh-e-ajantā kī qasam
jachtā nahīñ arzhañg-e-chī۔n
shān-e-ellora dekh kar
jhuktī hai aazar kī jabīñ
chittauḌ ho yā āgara
aise nahīñ qil.e kahīñ
but-gar ho yā naqqāsh ho
tū sab kī azmat kā amiiñ
mere vatan, pyāre vatan
rāhat ke gahvāre vatan
har dil ke ujiyāre vatan
har aañkh ke taare vatan
dilkash tire dasht o chaman
rañgīñ tire shahr o chaman
tere javāñ rā.anā javāñ
tere hasīñ gul pairahan
ik anjuman duniyā hai ye
tū is meñ sadr-e-anjuman
tere muġhannī ḳhush-navā
shā.er tire shīrīñ-suḳhan
har zarra ik māh-e-mubīñ
har ḳhaar rashk-e-nastarīñ
ġhuncha tire sahrā kā hai
ik nāfa-e-mushk-e-ḳhutan
kañkar haiñ tere be-bahā
patthar tire lāl-e-yaman
bastī se jañgal ḳhūb-tar
bāġhoñ se husn afroz ban
vo mor vo kabk-e-darī
vo chaukḌī bharte hiran
rañgīñ-adā vo titliyāñ
bāñbnī meñ vo nāgoñ ke phan
vo sher jin ke naam se
larze meñ aa.e ahrman
khetoñ kī barkat se ayaañ
faizān-e-rabb-e-zul-minan
chashmoñ ke shīrīñ aab se
lazzat-kashāñ kām-o-dahan
tābinda terā ahd-e-nau
raushan tirā ahd-e-kuhan
kitnoñ ne tujh par kar diyā
qurbān apnā maal dhan
kitne shahīdoñ ko mile
tere liye dār-o-rasan
kitnoñ ko terā ishq thā
kitnoñ ko thī terī lagan
tere jafā-kash mehnatī
rakhte haiñ azm-e-kohkan
tere sipāhī sūrmā
be-misl yaktā-e-zaman
'bhisham' sā jin meñ hausla
'arjun' sā jin meñ bāñkpan
aalim jo faḳhr-e-ilm haiñ
fankār nāzāñ jin pe fan
'rā.e' o 'bos' o 'shergil'
'dinkar,' 'jigar' 'maithli-sharan'
'vallathol' 'māhir', bhārtī
'bachchan', 'mahādevī' 'suman'
'krishnan', 'nirālā', 'prem-chand'
'tagore' o 'āzād' o 'raman'
mere vatan, pyāre vatan
rāhat ke gahvāre vatan
har dil ke ujiyāre vatan
har aañkh ke taare vatan
khetī tirī har ik harī
dilkash tirī ḳhush-manzarī
terī bisāt-e-ḳhāk ke
zarre haiñ mahr-o-mushtarī
jhelum kaveri naag vo
gañgā kī vo gañgotarī
vo narbadā kī tamkanat
vo shaukat-e-godāvarī
pākīzgī sarjū kī vo
jamunā kī vo ḳhush-gauharī
dullarba āb-e-nīl-gūñ
kashmīr kī nīlam-parī
dilkash papīhe kī sadā
koyal kī tāneñ mad-bharī
tītar kā vo haq sirrahu
tuutī kā vo vird-e-harī
suufī tire har daur meñ
karte rahe paiġhambarī
'chishtī' o 'nanak' se milī
faqr-o-ġhinā ko bartarī
adl-e-jahāñgīrī meñ thī
muzmar re.āyā-parvarī
vo nau-ratan jin se huī
tahzīb-e-daur-e-akbarī
rakhte the afġhān-o-muġhal
ik saulat-e-askandarī
rānāon ke iqbāl kī
hotī hai kis se ham-sarī
sāvañt vo yodhdhā tire
tere jiyāle vo jarī
nīatī vidur kī aaj tak
kartī hai terī rahbarī
ab tak hai mash.hūr-e-zamāñ
'chanakya' kī dānish-varī
vayās aur vishvamitr se
muniyoñ kī shān-e-qaisarī
pātanjalī o sāñkh se
rishiyoñ kī hikmat-parvarī
baḳhshe tujhe in.ām-e-nau
har daur charḳh-e-chambarī
ḳhush-gauharī de aab ko
aur ḳhaak ko ḳhush-jauharī
zarroñ ko mahr-afshāniyāñ
qatroñ ko dariyā-gustarī
mere vatan, pyāre vatan
rāhat ke gahvāre vatan
har dil ke ujiyāre vatan
har aañkh ke taare vatan
tū rahbar-e-nau-e-bashar
tū amn kā paiġhām-bar
paale haiñ tū ne god meñ
sāhib-ḳhirad sāhib-e-nazar
afzal-tarīñ in sab meñ hai
baapū kā nām-e-mo'tabar
har lafz jis kā dil-nashīñ
har baat jis kī pur-asar
jis ne lagāyā dahr meñ
na.ara ye be-ḳhauf-o-ḳhatar
be-kār haiñ tīr-o-sināñ
be-sūd haiñ teġh-o-tabar
hinsā kā rasta jhuuT hai
haq hai ahinsā kī Dagar
darmāñ hai ye har dard kā
ye har maraz kā chāra-gar
jañgāh-e-ālam meñ koī
is se nahīñ behtar sipar
kartā huuñ maiñ tere liye
ab ye duā-e-muḳhtasar
raunaq pe hoñ tere chaman
sarsabz hoñ tere shajar
naḳhl-e-umīd-e-behtarī
har fasl meñ ho bārvar
koshish ho duniyā meñ koī
ḳhitta na ho zer-o-zabar
terā har ik baasī rahe
neko-sifat neko-siyar
har zan salīqa-mañd ho
har mard ho sāhib-hunar
jab tak haiñ ye arz o falak
jab tak haiñ ye shams o qamar
mere vatan, pyāre vatan
rāhat ke gahvāre vatan
har dil ke ujyāre vatan
har aañkh ke taare vatan
mere watan, pyare watan
rahat ke gahware watan
har dil ke ujyare watan
har aankh ke tare watan
gul-posh teri wadiyan
farhat-nishan rahat-rasan
tere chaman-zaron pe hai
gulzar-e-jannat ka guman
har shaKH phulon ki chhaDi
har naKHl-e-tuba hai yahan
kausar ke chashme ja-ba-ja
tasnim har aab-e-rawan
har barg ruh-e-tazgi
har phul jaan-e-gulsitan
har bagh bagh-e-dil-kashi
har bagh bagh-e-be-KHizan
dilkash charagahen teri
Dhoron ke jin mein karwan
anjum-sifat gulha-e-nau
har taKHta-e-gul aasman
naqsh-e-surayya ja-ba-ja
har har rawish ek kahkashan
teri bahaaren daimi
teri bahaaren jawedan
tujh mein hai ruh-e-zindagi
paiham rawan paiham dawan
dariya wo tere tund-KHu
jhilen wo teri be-karan
sham-e-awadh ke lab pe hai
husn-e-azal ki dastan
kahti hai raaz-e-sarmadi
subh-e-banaras ki zaban
uDta hai haft-aflak par
un kar-KHanon ka dhuan
jin mein hain lakhon mehnati
sanat-gari ke pasban
teri banaras ki zari
rashk-e-harir-o-parniyan
bidar ki fankari mein hain
sanat ki sab barikiyan
azmat tere iqbaal ki
tere pahaDon se ayan
dariyaon ka pani, tari
taqdis ka andaza-dan
kya 'bhaartendu' ne kiya
ganga ki lahron ka bayan
'iqbaal' aur chakbast hain
azmat ke teri naghma-KHwan
'josh' o 'firaq' o 'pant' hain
tere adab ke tarjuman
'tulsi' o 'KHusraw' hain teri
tarif mein ratb-ul-lisan
gate hain naghma mil ke sab
uncha rahe tera nishan
mere watan, pyare watan
rahat ke gahware watan
har dil ke ujiyare watan
har aankh ke tare watan
tere nazaron ke nagin
duniya ki KHatam mein nahin
sare jahan mein muntaKHab
kashmir ki arz-e-hasin
fitrat ka rangin moajaza
firdaus bar-ru-e-zamin
firdaus bar-ru-e-zamin
han han hamin ast o hamin
sarsabz jis ke dasht hain
jis ke jabal hain surmagin
mewe ba-kasrat hain jahan
shirin misal-e-angbin
har zafaran ke phul mein
aks-e-jamal-e-hurain
wo malwe ki chandni
gum jis mein hon duniya-o-din
is KHitta-e-nairang mein
har ek faza husn-afrin
har shai mein husn-e-zindagi
dilkash makan dilkash zamin
har mard mard-e-KHub-ru
har ek aurat naznin
wo taj ki KHush-paikari
har zawiye se dil-nashin
sanat-garon ke daur ki
ek yaadgar-e-marmarin
hoti hai jo har sham ko
faiz-e-shafaq se ahmarin
dariya ki maujon se alag
ya ek bat-e-nazzara-bin
ya taer-e-nuri koi
parwaz karne ke qarin
ya ahl-e-duniya se alag
ek aabid-e-uzlat-guzin
naqsh-e-ajanta ki qasam
jachta nahin arzhang-e-chi۔n
shan-e-ellora dekh kar
jhukti hai aazar ki jabin
chittauD ho ya aagara
aise nahin qile kahin
but-gar ho ya naqqash ho
tu sab ki azmat ka amin
mere watan, pyare watan
rahat ke gahware watan
har dil ke ujiyare watan
har aankh ke tare watan
dilkash tere dasht o chaman
rangin tere shahr o chaman
tere jawan raana jawan
tere hasin gul pairahan
ek anjuman duniya hai ye
tu is mein sadr-e-anjuman
tere mughanni KHush-nawa
shaer tere shirin-suKHan
har zarra ek mah-e-mubin
har KHar rashk-e-nastarin
ghuncha tere sahra ka hai
ek nafa-e-mushk-e-KHutan
kankar hain tere be-baha
patthar tere lal-e-yaman
basti se jangal KHub-tar
baghon se husn afroz ban
wo mor wo kabk-e-dari
wo chaukDi bharte hiran
rangin-ada wo titliyan
banbni mein wo nagon ke phan
wo sher jin ke nam se
larze mein aae ahrman
kheton ki barkat se ayan
faizan-e-rabb-e-zul-minan
chashmon ke shirin aab se
lazzat-kashan kaam-o-dahan
tabinda tera ahd-e-nau
raushan tera ahd-e-kuhan
kitnon ne tujh par kar diya
qurban apna mal dhan
kitne shahidon ko mile
tere liye dar-o-rasan
kitnon ko tera ishq tha
kitnon ko thi teri lagan
tere jafa-kash mehnati
rakhte hain azm-e-kohkan
tere sipahi surma
be-misl yakta-e-zaman
'bhisham' sa jin mein hausla
'arjun' sa jin mein bankpan
aalim jo faKHr-e-ilm hain
fankar nazan jin pe fan
'rae' o 'bos' o 'shergil'
'dinkar,' 'jigar' 'maithli-sharan'
'wallathol' 'mahir', bhaarti
'bachchan', 'mahadewi' 'suman'
'krishnan', 'nirala', 'prem-chand'
'tagore' o 'azad' o 'raman'
mere watan, pyare watan
rahat ke gahware watan
har dil ke ujiyare watan
har aankh ke tare watan
kheti teri har ek hari
dilkash teri KHush-manzari
teri bisat-e-KHak ke
zarre hain mahr-o-mushtari
jhelum kaweri nag wo
ganga ki wo gangotari
wo narbada ki tamkanat
wo shaukat-e-godawari
pakizgi sarju ki wo
jamuna ki wo KHush-gauhari
dullarba aab-e-nil-gun
kashmir ki nilam-pari
dilkash papihe ki sada
koyal ki tanen mad-bhari
titar ka wo haq sirrahu
tuti ka wo wird-e-hari
sufi tere har daur mein
karte rahe paighambari
'chishti' o 'nanak' se mili
faqr-o-ghina ko bartari
adl-e-jahangiri mein thi
muzmar reaya-parwari
wo nau-ratan jin se hui
tahzib-e-daur-e-akbari
rakhte the afghan-o-mughal
ek saulat-e-askandari
ranaon ke iqbaal ki
hoti hai kis se ham-sari
sawant wo yodhdha tere
tere jiyale wo jari
niati widur ki aaj tak
karti hai teri rahbari
ab tak hai mashhur-e-zaman
'chanakya' ki danish-wari
wayas aur wishwamitr se
muniyon ki shan-e-qaisari
patanjali o sankh se
rishiyon ki hikmat-parwari
baKHshe tujhe inam-e-nau
har daur charKH-e-chambari
KHush-gauhari de aab ko
aur KHak ko KHush-jauhari
zarron ko mahr-afshaniyan
qatron ko dariya-gustari
mere watan, pyare watan
rahat ke gahware watan
har dil ke ujiyare watan
har aankh ke tare watan
tu rahbar-e-nau-e-bashar
tu amn ka paigham-bar
pale hain tu ne god mein
sahib-KHirad sahib-e-nazar
afzal-tarin in sab mein hai
bapu ka nam-e-mo'tabar
har lafz jis ka dil-nashin
har baat jis ki pur-asar
jis ne lagaya dahr mein
nara ye be-KHauf-o-KHatar
be-kar hain tir-o-sinan
be-sud hain tegh-o-tabar
hinsa ka rasta jhuT hai
haq hai ahinsa ki Dagar
darman hai ye har dard ka
ye har maraz ka chaara-gar
jangah-e-alam mein koi
is se nahin behtar sipar
karta hun main tere liye
ab ye dua-e-muKHtasar
raunaq pe hon tere chaman
sarsabz hon tere shajar
naKHl-e-umid-e-behtari
har fasl mein ho barwar
koshish ho duniya mein koi
KHitta na ho zer-o-zabar
tera har ek basi rahe
neko-sifat neko-siyar
har zan saliqa-mand ho
har mard ho sahib-hunar
jab tak hain ye arz o falak
jab tak hain ye shams o qamar
mere watan, pyare watan
rahat ke gahware watan
har dil ke ujyare watan
har aankh ke tare watan
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 297)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Hujwiri Publisher H. 811, A Androon, Akbari Gate, Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.