aazadi-e-watan
kaho hindostāñ kī jai
kaho hindostāñ kī jai
qasam hai ḳhuun se sīñche hue rañgīñ gulistāñ kī
qasam hai ḳhūn-e-dahqāñ kī qasam ḳhūn-e-shahīdāñ kī
ye mumkin hai ki duniyā ke samundar ḳhushk ho jaa.eñ
ye mumkin hai ki dariyā bahte bahte thak ke so jaa.eñ
jalānā chhoḌ deñ dozaḳh ke añgāre ye mumkin hai
ravānī tark kar deñ barq ke dhāre ye mumkin hai
zamīn-e-pāk ab nāpākiyoñ ko Dho nahīñ saktī
vatan kī sham-e-āzādī kabhī gul ho nahīñ saktī
kaho hindostāñ kī jai
kaho hindostāñ kī jai
vo hindī naujavāñ ya.anī alam-bardār-e-āzādī
vatan kī pāsbāñ vo teġh-e-jauhar-dār-e-āzādī
vo pākīza sharāra bijliyoñ ne jis ko dhoyā hai
vo añgāra ki jis meñ ziist ne ḳhud ko samoyā hai
vo sham-e-zindagānī āñdhiyoñ ne jis ko paalā hai
ik aisī naav tūfānoñ ne ḳhud jis ko sambhālā hai
vo Thokar jis se giitī larza-bar-andām rahtī hai
vo dhārā jis ke siine par amal kī naav bahtī hai
chhupī ḳhāmosh aa.heñ shor-e-mahshar ban ke niklī haiñ
dabī chiñgāriyāñ ḳhurshīd-e-ḳhāvar ban ke niklī haiñ
badal dī naujavān-e-hind ne taqdīr zindāñ kī
mujāhid kī nazar se kaT ga.ī zanjīr zindāñ kī
kaho hindostāñ kī jai
kaho hindostāñ kī jai
kaho hindostāñ kī jai.......
kaho hindostan ki jai
kaho hindostan ki jai
qasam hai KHun se sinche hue rangin gulistan ki
qasam hai KHun-e-dahqan ki qasam KHun-e-shahidan ki
ye mumkin hai ki duniya ke samundar KHushk ho jaen
ye mumkin hai ki dariya bahte bahte thak ke so jaen
jalana chhoD den dozaKH ke angare ye mumkin hai
rawani tark kar den barq ke dhaare ye mumkin hai
zamin-e-pak ab napakiyon ko Dho nahin sakti
watan ki sham-e-azadi kabhi gul ho nahin sakti
kaho hindostan ki jai
kaho hindostan ki jai
wo hindi naujawan yani alam-bardar-e-azadi
watan ki pasban wo tegh-e-jauhar-dar-e-azadi
wo pakiza sharara bijliyon ne jis ko dhoya hai
wo angara ki jis mein zist ne KHud ko samoya hai
wo sham-e-zindagani aandhiyon ne jis ko pala hai
ek aisi naw tufanon ne KHud jis ko sambhaala hai
wo Thokar jis se giti larza-bar-andam rahti hai
wo dhaara jis ke sine par amal ki naw bahti hai
chhupi KHamosh aahen shor-e-mahshar ban ke nikli hain
dabi chingariyan KHurshid-e-KHawar ban ke nikli hain
badal di naujawan-e-hind ne taqdir zindan ki
mujahid ki nazar se kaT gai zanjir zindan ki
kaho hindostan ki jai
kaho hindostan ki jai
kaho hindostan ki jai
- Book : Azadi Ki Nazmein (Pg. 98)
- Author : Sibte Hasan
- Publication : Qaumi Council Baraye-farogh Urdu (1985(Urdu Acadami U.P,2007 (Urdu Council Adition))
- Edition : 1985(Urdu Acadami U.P,2007 (Urdu Council Adition)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.