kānoñ kī ik nagrī dekhī jis meñ saare kaane dekhe
ek taraf se ahmaq saare ek taraf se siyāne the
kānoñ kī is nagrī ke sab riit rivāj alāhada the
rog alāhada bastī meñ the aur ilaaj alāhada the
do do kaane mil kar puurā sapnā dekhā karte the
gañgā ke sañgam se kaane jamunā dekhā karte the
chāñdnī raat meñ chhatrī le kar bāhar jaayā karte the
os gire to kahte haiñ vaañ sar phaT jaayā karte the
dariyā pul par chaltā thā paanī meñ raileñ chaltī thiiñ
lañgūroñ kī dum par añgūroñ kī beleñ paktī thiiñ
chhūt kī ik bīmārī phailī ek dafa un kānoñ meñ
bhuuk ke kiiḌe sunte haiñ nikle gandum ke dānoñ meñ
roz ka.ī kaane bechāre marte the bīmārī meñ
kahte haiñ raajā sotā thā sone kī almārī meñ
ghanTī bāñdh ke chūhe jab billī se dauḌ lagāte the
peT pe donoñ haath bajā kar sab qavvālī gaate the
tab kaanī bhaiñs ne phuul phulā kar chheḌā biin kā baajā
aur kaalā chashma pahan ke singhāsan par aayā raajā
dukh se chashme kī donoñ hī āñḳheñ paanī paanī thiiñ
dekhā us kaane raajā kī donoñ āñḳheñ kaanī thiiñ
jhūTā hai jo andhoñ meñ kaanā raajā hai kahtā hai
jā kar dekho kaanī nagrī andhā raajā rahtā hai
kanon ki ek nagri dekhi jis mein sare kane dekhe
ek taraf se ahmaq sare ek taraf se siyane the
kanon ki is nagri ke sab rit riwaj alahada the
rog alahada basti mein the aur ilaj alahada the
do do kane mil kar pura sapna dekha karte the
ganga ke sangam se kane jamuna dekha karte the
chandni raat mein chhatri le kar bahar jaya karte the
os gire to kahte hain wan sar phaT jaya karte the
dariya pul par chalta tha pani mein railen chalti thin
languron ki dum par anguron ki belen pakti thin
chhut ki ek bimari phaili ek dafa un kanon mein
bhuk ke kiDe sunte hain nikle gandum ke danon mein
roz kai kane bechaare marte the bimari mein
kahte hain raja sota tha sone ki almari mein
ghanTi bandh ke chuhe jab billi se dauD lagate the
peT pe donon hath baja kar sab qawwali gate the
tab kani bhains ne phul phula kar chheDa bin ka baja
aur kala chashma pahan ke singhasan par aaya raja
dukh se chashme ki donon hi aanKHen pani pani thin
dekha us kane raja ki donon aanKHen kani thin
jhuTa hai jo andhon mein kana raja hai kahta hai
ja kar dekho kani nagri andha raja rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.