bahut hī baḌe ek jañgal meñ ik baar
bahut hī baḌā ek hī sher thā
bahut hī baḌī us kī moñchheñ bhī thiiñ
bahut hī baḌī pūñchh us sher kī
kabhī pūñchh uupar uThātā thā jab
to panchhī bhī peḌoñ pe Dar jaate the
nikaltā thā jab ġhaar se aur ġhurrātā thā
to jañgal meñ sab Dar ke chhup jaate the
bahut sahme sahme se rahte the sab
kabhī koī gīdaḌ kabhī lomḌī
kabhī niil gaay kabhī koī suar
kabhī ek do aur kabhī tiin tiin
jahāñ bhī mile jis qadar bhī shikār
vo jañgal kā raajā thā khā jaatā thā
koī bhī amn se na jī paatā thā
bahut soch kar sab ke sab ek din
sabhā meñ mile aur kiye faisle
agar sher bāhar na aayā kare
to har roz parchī nikālā kareñ
ki har roz bas ek hī jānvar
ḳhud hī sher ke ġhaar meñ bhej kar
chain se jī sakeñ
magar sher jī se ye kaise kaheñ
sabhā ke sabhī soch meñ paḌ ga.e
bahut der ba.ad
baḌe piir bakre jī bole ki maiñ
merī umr to yuuñ hī baaqī hai kam
mujhe khaa.e jaatā hai bachchoñ kā ġham
agar sher ne khā liyā bhī to kyā
sunāyā baḌe piir ne jā ke jañgal kā ye faisla
sher jī sun ke pahle to chauñke zarā
magar ġhaur se sochā jab mo.āmla
to samjhe chalo apnī mehnat bachī
ye jañgal bhī apnā hai raajā bhī ham
hameñ hī to hogā na parjā kā ġham
zabāñ pher kar ḳhushk hoñToñ pe bole
ḳhabar kar dī jā.egī jantā ko kal
magar aaj ke din halūm halūm
aaj to aap hī merī ḳhurāk ho
kahā aur bas khā gayā būḌhe bakre ko sher
din guzarte ga.e
log ghaTte ga.e mahīne ga.e
yuuñ hī roz ḳhurāk jaatī rahī sher ke ġhaar tak
ki ik din nikal aa.ī baarī jo ḳhargosh kī
vo ghabrā gayā
chalā dhīme dhīme se kachhve kī chaal
pahuñchte pahuñchte use ġhaar tak shaam hone lagī
use dekh kar sher bhannā gayā
chhaTañkī barābar ye ḳhurāk bhejī hai jañgal ne
aur is qadar der se
miTā dūñgā ḳhargosh kī zaat ko
maiñ jañgal kā jañgal hī khā jā.ūñgā
sunā aur ḳhargosh rone lagā
giḌgiḌāne lagā
huzūr is meñ merī nahīñ hai ḳhatā
na jañgal sabhā kā koī dosh hai
ki jañgal ne to saat ḳhargosh bheje magar
magar kyā
magar sir
magar kyā kyuuñ haklā rahe ho batāo mujhe
magar magar magar sir
kahāñ haiñ tumhāre chhe ġhaddār sāthī
vo ḳhargosh phir se sisakne lagā
hameñ rāste meñ huzūr ek
zālim ne rokā thā
aur bahut gāliyāñ aap ko diiñ
kahā maiñ dohrā.ūñ kaise vo sab kuchh huzūr
kahā jaao kah do mire sāthiyoñ ko vahī khā gayā
ye sunñā thā ki sher ġhurrāyā moñchhoñ meñ bal aa ga.e
akaḌne lagī us kī hunTerī pūñchh
aur āñkhoñ meñ bas ḳhuun utarne lagā
kahāñ hai kidhar hai batā kaun hai
mire hote kis kā huā hausla
ki merī re.āyā pe koī zulm kar sake
vo hai aap kī zaat kā sir magar
maiñ m maiñ maiñ vo kahtā thā sir
j j jañgal kā raajā asl
maiñ vo vo hai
lapak ke uThā sher bolā batā
kahāñ hai batā us ko kachchā chabā jā.ūñgā
vo pīpal kī pauḌī ke pīchhe
jo kuaañ hai nā
vahīñ pe chhupā hai vo kāyer huzūr
palak ke jhapakne meñ pahuñche kueñ pe
ḳhargosh aur sher
khaḌe ho ke kuñ.eñ pe us sher ne
jo paanī meñ dekhā to haañ sher thā
vo paanī meñ us kī hī parchhā.īñ thī
magar sher samjhā vahī dūsrā sher hai
dikhā.e jo us ne bhayānak se daañt
to us ne bhī dikhlā.e vaise hī daañt
ye ġhurrāyā ġhurrā.ī parchhā.īñ bhī
palaT ke kueñ se jo āvāz lauTī
vo samjhā vo aayā
ye kuudā chhapāk se paanī meñ aur
Duub ke mar gayā
ḳhushī se jo uchhlā hai ḳhargosh to
abhī tak uchhal kar hī chaltā hai vo
bahut hi baDe ek jangal mein ek bar
bahut hi baDa ek hi sher tha
bahut hi baDi us ki monchhen bhi thin
bahut hi baDi punchh us sher ki
kabhi punchh upar uThata tha jab
to panchhi bhi peDon pe Dar jate the
nikalta tha jab ghaar se aur ghurraata tha
to jangal mein sab Dar ke chhup jate the
bahut sahme sahme se rahte the sab
kabhi koi gidaD kabhi lomDi
kabhi nil gay kabhi koi suar
kabhi ek do aur kabhi tin tin
jahan bhi mile jis qadar bhi shikar
wo jangal ka raja tha kha jata tha
koi bhi amn se na ji pata tha
bahut soch kar sab ke sab ek din
sabha mein mile aur kiye faisle
agar sher bahar na aaya kare
to har roz parchi nikala karen
ki har roz bas ek hi jaanwar
KHud hi sher ke ghaar mein bhej kar
chain se ji saken
magar sher ji se ye kaise kahen
sabha ke sabhi soch mein paD gae
bahut der baad
baDe pir bakre ji bole ki main
meri umr to yun hi baqi hai kam
mujhe khae jata hai bachchon ka gham
agar sher ne kha liya bhi to kya
sunaya baDe pir ne ja ke jangal ka ye faisla
sher ji sun ke pahle to chaunke zara
magar ghaur se socha jab moamla
to samjhe chalo apni mehnat bachi
ye jangal bhi apna hai raja bhi hum
hamein hi to hoga na parja ka gham
zaban pher kar KHushk honTon pe bole
KHabar kar di jaegi janta ko kal
magar aaj ke din halum halum
aaj to aap hi meri KHurak ho
kaha aur bas kha gaya buDhe bakre ko sher
din guzarte gae
log ghaTte gae mahine gae
yun hi roz KHurak jati rahi sher ke ghaar tak
ki ek din nikal aai bari jo KHargosh ki
wo ghabra gaya
chala dhime dhime se kachhwe ki chaal
pahunchte pahunchte use ghaar tak sham hone lagi
use dekh kar sher bhanna gaya
chhaTanki barabar ye KHurak bheji hai jangal ne
aur is qadar der se
miTa dunga KHargosh ki zat ko
main jangal ka jangal hi kha jaunga
suna aur KHargosh rone laga
giDgiDane laga
huzur is mein meri nahin hai KHata
na jangal sabha ka koi dosh hai
ki jangal ne to sat KHargosh bheje magar
magar kya
magar sir
magar kya kyun hakla rahe ho batao mujhe
magar magar magar sir
kahan hain tumhaare chhe ghaddar sathi
wo KHargosh phir se sisakne laga
hamein raste mein huzur ek
zalim ne roka tha
aur bahut galiyan aap ko din
kaha main dohraun kaise wo sab kuchh huzur
kaha jao kah do mere sathiyon ko wahi kha gaya
ye sunna tha ki sher ghurraya monchhon mein bal aa gae
akaDne lagi us ki hunTeri punchh
aur aankhon mein bas KHun utarne laga
kahan hai kidhar hai bata kaun hai
mere hote kis ka hua hausla
ki meri reaya pe koi zulm kar sake
wo hai aap ki zat ka sir magar
main m main main wo kahta tha sir
j j jangal ka raja asl
main wo wo hai
lapak ke uTha sher bola bata
kahan hai bata us ko kachcha chaba jaunga
wo pipal ki pauDi ke pichhe
jo kuan hai na
wahin pe chhupa hai wo kayer huzur
palak ke jhapakne mein pahunche kuen pe
KHargosh aur sher
khaDe ho ke kunen pe us sher ne
jo pani mein dekha to han sher tha
wo pani mein us ki hi parchhain thi
magar sher samjha wahi dusra sher hai
dikhae jo us ne bhayanak se dant
to us ne bhi dikhlae waise hi dant
ye ghurraya ghurrai parchhain bhi
palaT ke kuen se jo aawaz lauTi
wo samjha wo aaya
ye kuda chhapak se pani mein aur
Dub ke mar gaya
KHushi se jo uchhla hai KHargosh to
abhi tak uchhal kar hi chalta hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.