bārish bārish bārish hogī
gande paanī meñ mat jaanā
ḳhārish hogī
phoḌe phunsiyāñ phūTeñge to khujlāoge
rote-dhote Teñ Teñ karte ghar aaoge
uupar se phir kaḌve tel kī mālish hogī
bārish bārish bārish hogī
bārish aatī hai to naale bhar detī hai
khelne ke maidān meñ kīchaḌ kar detī hai
is baar kachahrī meñ is baat kī nālish hogī
bārish bārish bārish hogī
peḌoñ ko nokīlī būñdeñ chubhtī haiñ kyā
tez havā se un kī Tahniyāñ dukhtī haiñ kyā
peḌoñ ko bhī to chhatrī kī ḳhvāhish hogī
bārish bārish hogī
barish barish barish hogi
gande pani mein mat jaana
KHarish hogi
phoDe phunsiyan phuTenge to khujlaoge
rote-dhote Ten Ten karte ghar aaoge
upar se phir kaDwe tel ki malish hogi
barish barish barish hogi
barish aati hai to nale bhar deti hai
khelne ke maidan mein kichaD kar deti hai
is bar kachahri mein is baat ki nalish hogi
barish barish barish hogi
peDon ko nokili bunden chubhti hain kya
tez hawa se un ki Tahniyan dukhti hain kya
peDon ko bhi to chhatri ki KHwahish hogi
barish barish hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.