Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

iqbaal ke mazar par

Hafeez Jalandhari

iqbaal ke mazar par

Hafeez Jalandhari

MORE BYHafeez Jalandhari

    lahad meñ so rahī hai aaj be-shak musht-e-ḳhāk us

    magar garm-e-amal hai jāgtī hai jān-e-pāk us

    vo ik faanī bashar thā maiñ ye bāvar kar nahīñ saktā

    bashar iqbāl ho jaa.e to hargiz mar nahīñ saktā

    ba-zer-e-sāya-e-dīvār-e-masjid hai jo āsūda

    ye ḳhākī jism hai sattar baras raah paimūda

    ye ḳhākī jism bhī us bahut besh-qīmat thā

    jise ham-jalva samjhe the vo parda bhī ġhanīmat thā

    use ham nāpte the le ke āñkhoñ paimānā

    ġhazal-ḳhvāñ us ko jaanā ham ne shā.ir us ko gardānā

    faqat sūrat dekhī us ke ma.anī ham nahīñ samjhe

    na dekhā rañg-e-tasvīr aa.ine ko dil-nashīñ samjhe

    hameñ zof-e-basārat se kahāñ thī tāb-e-nazzārā

    sikhā.e us ke parde ne hameñ ādāb-e-nazzārā

    ye naġhma kyā hai zer-e-parda-hā-e-sāz kam samjhe

    rahe sab gosh-bar-āvāz lekin raaz kam samjhe

    shikast-e-paikar-e-mahsūs ne toḌā hijāb āḳhir

    tulū-e-sub.h-e-mahshar ban ke chamkā āftāb āḳhir

    muqayyad ab nahīñ 'iqbāl' apne jism-e-fānī meñ

    nahīñ vo band haa.il aaj dariyā ravānī meñ

    vajūd-e-marg qaa.el nahīñ thī zindagī us

    ta.ālā allāh ab dekhe koī pā.indagī us

    jise ham murda samjhe zinda tar pā.inda tar niklā

    mah o ḳhurshīd se zarre dil tābinda tar niklā

    abhī andāza ho saktā nahīñ us bulandī

    abhī duniyā āñkhoñ par hai parda firqa-bandī

    magar merī nigāhoñ meñ haiñ chehre un javānoñ ke

    jinheñ 'iqbāl' ne baḳhshe haiñ baazū qahar-mānoñ ke

    lahad mein so rahi hai aaj be-shak musht-e-KHak us ki

    magar garm-e-amal hai jagti hai jaan-e-pak us ki

    wo ek fani bashar tha main ye bawar kar nahin sakta

    bashar iqbaal ho jae to hargiz mar nahin sakta

    ba-zer-e-saya-e-diwar-e-masjid hai jo aasuda

    ye KHaki jism hai sattar baras ka rah paimuda

    ye KHaki jism bhi us ka bahut hi besh-qimat tha

    jise ham-jalwa samjhe the wo parda bhi ghanimat tha

    use hum napte the le ke aankhon hi ka paimana

    ghazal-KHwan us ko jaana hum ne shair us ko gardana

    faqat surat hi dekhi us ke mani hum nahin samjhe

    na dekha rang-e-taswir aaine ko dil-nashin samjhe

    hamein zof-e-basarat se kahan thi tab-e-nazzara

    sikhae us ke parde ne hamein aadab-e-nazzara

    ye naghma kya hai zer-e-parda-ha-e-saz kam samjhe

    rahe sab gosh-bar-awaz lekin raaz kam samjhe

    shikast-e-paikar-e-mahsus ne toDa hijab aaKHir

    tulu-e-subh-e-mahshar ban ke chamka aaftab aaKHir

    muqayyad ab nahin 'iqbaal' apne jism-e-fani mein

    nahin wo band hail aaj dariya ki rawani mein

    wajud-e-marg ki qael nahin thi zindagi us ki

    taala allah ab dekhe koi paindagi us ki

    jise hum murda samjhe zinda tar painda tar nikla

    mah o KHurshid se zarre ka dil tabinda tar nikla

    abhi andaza ho sakta nahin us ki bulandi ka

    abhi duniya ki aankhon par hai parda firqa-bandi ka

    magar meri nigahon mein hain chehre un jawanon ke

    jinhen 'iqbaal' ne baKHshe hain bazu qahar-manon ke

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    iqbaal ke mazar par Nomaan Shauque

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now