muflisi
jab aadmī ke haal pe aatī hai muflisī
kis kis tarah se us ko satātī hai muflisī
pyāsā tamām roz biThātī hai muflisī
bhūkā tamām raat sulātī hai muflisī
ye dukh vo jaane jis pe ki aatī hai muflisī
kahiye to ab hakīm kī sab se baḌī hai shaañ
ta.azīm jis kī karte haiñ to ab aur ḳhaañ
muflis hue to hazrat-e-luqmāñ kiyā hai yaañ
iisā bhī ho to koī nahīñ pūchhtā miyāñ
hikmat hakīm kī bhī Dubātī hai muflisī
jo ahl-e-fazl aalim o fāzil kahāte haiñ
muflis hue to kalma talak bhuul jaate haiñ
vo jo ġharīb-ġhurabā ke laḌke paḌhāte haiñ
un kī to umr bhar nahīñ jaatī hai muflisī
muflis kare jo aan ke mahfil ke biich haal
sab jāneñ roTiyoñ kā ye Daalā hai is ne jaal
gir gir paḌe to koī na liye use sambhāl
muflis meñ hoveñ laakh agar ilm aur kamāl
sab ḳhaak bech aa ke milātī hai muflisī
jab roTiyoñ ke baTne kā aa kar paḌe shumār
muflis ko deveñ ek tavañgar ko chaar chaar
gar aur māñge vo to use jhiḌkeñ baar baar
muflis kā haal aah bayāñ kyā karūñ maiñ yaar
muflis ko is jagah bhī chabātī hai muflisī
muflis kī kuchh nazar nahīñ rahtī hai aan par
detā hai apnī jaan vo ek ek naan par
har aan TuuT paḌtā hai roTī ke ḳhvān par
jis tarah kutte laḌte haiñ ik ustuḳhvān par
vaisā hī muflisoñ ko laḌātī hai muflisī
kartā nahīñ hayā se jo koī vo kaam aah
muflis kare hai us ke ta.iiñ insirām aah
samjhe na kuchh halāl na jaane harām aah
kahte haiñ jis ko sharm-o-hayā nañg-o-nām aah
vo sab hayā-o-sharm uḌātī hai muflisī
ye muflisī vo shai hai ki jis ghar meñ bhar ga.ī
phir jitne ghar the sab meñ usī ghar ke dar ga.ī
zan bachche rote haiñ goyā naanī guzar ga.ī
ham-sāya pūchhte haiñ ki kyā daadī mar ga.ī
bin murde ghar meñ shor machātī hai muflisī
lāzim hai gar ġhamī meñ koī shor-ġhul machā.e
muflis baġhair ġham ke hī kartā hai haa.e haa.e
mar jaave gar koī to kahāñ se use uThā.e
is muflisī kī ḳhvāriyāñ kyā kyā kahūñ maiñ haa.e
murde ko be kafan ke gaḌātī hai muflisī
kyā kyā muflisī kī kahūñ ḳhvārī phakaḌiyāñ
jhāḌū baġhair ghar meñ bikhartī haiñ jhakaḌiyāñ
kone meñ jaale lapTe haiñ chhappar meñ makaḌiyāñ
paisā na hove jin ke jalāne ko lakḌiyāñ
dariyā meñ un ke murde bahātī hai muflisī
biibī kī nath na laḌkoñ ke hāthoñ kaḌe rahe
kapḌe miyāñ ke baniye ke ghar meñ paḌe rahe
jab kaḌiyāñ bik ga.iiñ to khañDar meñ paḌe rahe
zanjīr ne kivāḌ na patthar gaḌe rahe
āḳhir ko iiñT iiñT khudātī hai muflisī
naqqāsh par bhī zor jab aa muflisī kare
sab rañg dam meñ kar de musavvir ke kirkire
sūrat bhī us kī dekh ke muñh khiñch rahe pare
tasvīr aur naqsh meñ kyā rañg vo bhare
us ke to muñh kā rañg uḌātī hai muflisī
jab ḳhūb-rū pe aan ke paḌtā hai din siyāh
phirtā hai bose detā hai har ik ko ḳhvāh-maḳhvāh
hargiz kisī ke dil ko nahīñ hotī us kī chaah
gar husn ho hazār ruupe kā to us ko aah
kyā kauḌiyoñ ke mol bikātī hai muflisī
us ḳhūb-rū ko kaun de ab daam aur diram
jo kauḌī kauḌī bose ko raazī ho dam-ba-dam
Topī purānī do to vo jaane kulāh-e-jism
kyūñkar na jī ko us chaman-e-husn ke ho ġham
jis kī bahār muft luTātī hai muflisī
āshiq ke haal par bhī jab aa muflisī paḌe
ma.ashūq apne paas na de us ko baiThne
aave jo raat ko to nikāle vahīñ use
is Dar se ya.anī raat o dhannā kahīñ na de
tohmat ye āshiqoñ ko lagātī hai muflisī
kaise hī dhūm-dhām kī ranDī ho ḳhush-jamāl
jab muflisī ho kaan paḌe sar pe us ke jaal
dete haiñ us ke naach ko ThaTThe ke biich Daal
nāche hai vo to farsh ke uupar qadam sambhāl
aur us ko uñgliyoñ pe nachātī hai muflisī
us kā to dil Thikāne nahīñ bhaav kyā batā.e
jab ho phaTā dupaTTa to kaahe se muñh chhupā.e
le shaam se vo sub.h talak go ki nāche gaa.e
auroñ ko aaTh saat to vo do Take hī paa.e
is laaj se ise bhī lajātī hai muflisī
jis kasbī ranDī kā ho halākat se dil hazīñ
rakhtā hai us ko jab koī aa kar tamāsh-bīñ
ik paun paise tak bhī vo kartī nahīñ nahīñ
ye dukh usī se pūchhiye ab aah jis ke ta.iiñ
sohbat meñ saarī raat jagātī hai muflisī
vo to ye samjhe dil meñ ki Dhelā jo pā.ūñgī
damḌī ke paan damḌī ke missī mañgā.ūñgī
baaqī rahī chhadām so paanī bharā.ūñgī
phir dil meñ sochtī hai ki kyā ḳhaak khā.ūñgī
āḳhir chabīnā us kā bhunātī hai muflisī
jab muflisī se hove kalāvant kā dil udaas
phirtā hai le tambūre ko har ghar ke ās-pās
ik paav ser aane kī dil meñ lagā ke aas
gorī kā vaqt hove to gaatā hai vo babhās
yaañ tak havās us ke uḌātī hai muflisī
muflis biyāh beTī kā kartā hai bol bol
paisā kahāñ jo jā ke vo laave jahez mol
jorū kā vo galā ki phūTā ho jaise Dhol
ghar kī halāl-ḳhorī talak kartī hai ThiThol
haibat tamām us kī uThātī hai muflisī
beTe kā biyāh ho to na byāhī na sāthī hai
ne raushnī na baaje kī āvāz aatī hai
maañ pīchhe ek mailī chadar oḌhe jaatī hai
beTā banā hai dūlhā to baavā barātī hai
muflis kī ye barāt chaḌhātī hai muflisī
gar byaah kar chalā hai sahar ko to ye balā
shahdār naanā hījḌā aur bhaaT muñDchaḌā
khīñche hue use chale jaate haiñ jā-ba-jā
vo aage aage laḌtā huā jaatā hai chalā
aur pīchhe TapḌiyoñ ko bajātī hai muflisī
darvāze par zanāne bajāte haiñ tāliyāñ
aur ghar meñ baiThī Domnī detī haiñ gāliyāñ
mālan gale kī haar ho dauḌī le Dāliyāñ
saqqā khaḌā sunātā hai bāteñ razāliyāñ
ye ḳhvārī ye ḳharābī dikhātī hai muflisī
koī shuum be-hayā koī bolā nikhaTTū hai
beTī ne jaanā baap to merā nikhaTTū hai
beTe pukārte haiñ ki baabā nikhaTTū hai
biibī ye dil maiñ kahtī hai achchhā nikhaTTū hai
āḳhir nikhaTTū naam dharātī hai muflisī
muflis kā dard dil meñ koī Thāntā nahīñ
muflis kī baat ko bhī koī māntā nahīñ
zaat aur hasab-nasab ko koī jāntā nahīñ
sūrat bhī us kī phir koī pahchāntā nahīñ
yaañ tak nazar se us ko girātī hai muflisī
jis vaqt muflisī se ye aa kar huā tabāh
phir koī is ke haal pa kartā nahīñ nigāh
dālīdarī kahe koī Thahrā de rū-siyāh
jo bāteñ umr bhar na sunī hoveñ us ne aah
vo bāteñ us ko aa ke sunātī haiñ muflisī
chūlhā tavānā paanī ke maTke meñ aabī hai
piine ko kuchh na khāne ko aur ne rakābī hai
muflis ke saath sab ke ta.iiñ be-hijābī hai
muflis kī jorū sach hai ki yaañ sab kī bhābī hai
izzat sab us ke dil kī gañvātī hai muflisī
kaisā hī aadmī ho par iflās ke tufail
koī gadhā kahe use Thahrā de koī bail
kapḌe phaTe tamām baḌhe baal phail phail
muñh ḳhushk daañt zard badan par jamā hai mail
sab shakl qaidiyoñ kī banātī hai muflisī
har aan dostoñ kī mohabbat ghaTātī hai
jo āshnā haiñ un kī to ulfat ghaTātī hai
apne kī mehr ġhair kī chāhat ghaTātī hai
sharm-o-hayā o izzat-o-hurmat ghaTātī hai
haañ nāḳhun aur baal baḌhātī hai muflisī
jab muflisī huī to sharāfat kahāñ rahī
vo qadr zaat kī vo najābat kahāñ rahī
kapḌe phaTe to logoñ meñ izzat kahāñ rahī
ta.azīm aur tavāzo.a kī bābat kahāñ rahī
majlis kī jūtiyoñ pe biThātī hai muflisī
muflis kisī kā laḌkā jo le pyaar se uThā
baap us kā dekhe haath kā aur paañv kā kaḌā
kahtā hai koī juutī na leve kahīñ churā
naT-khaT uchakkā chor daġhābāz gaTh-kaTā
sau sau tarah ke aib lagātī hai muflisī
rakhtī nahīñ kisī kī ye ġhairat kī aan ko
sab ḳhaak meñ milātī hai hurmat kī shaan ko
sau mehnatoñ meñ us kī khapātī hai jaan ko
chorī pe aa ke Daale hī muflis ke dhyān ko
āḳhir nadān bhiik mañgātī hai muflisī
duniyā meñ le ke shaah se ai yaar tā-faqīr
ḳhāliq na muflisī meñ kisī ko kare asiir
ashrāf ko banātī hai ik aan meñ faqīr
kyā kyā maiñ muflisī kī ḳharābī kahūñ 'nazīr'
vo jaane jis ke dil ko jalātī hai muflisī
jab aadmi ke haal pe aati hai muflisi
kis kis tarah se us ko satati hai muflisi
pyasa tamam roz biThati hai muflisi
bhuka tamam raat sulati hai muflisi
ye dukh wo jaane jis pe ki aati hai muflisi
kahiye to ab hakim ki sab se baDi hai shan
tazim jis ki karte hain to ab aur KHan
muflis hue to hazrat-e-luqman kiya hai yan
isa bhi ho to koi nahin puchhta miyan
hikmat hakim ki bhi Dubaati hai muflisi
jo ahl-e-fazl aalim o fazil kahate hain
muflis hue to kalma talak bhul jate hain
wo jo gharib-ghuraba ke laDke paDhate hain
un ki to umr bhar nahin jati hai muflisi
muflis kare jo aan ke mahfil ke bich haal
sab jaanen roTiyon ka ye Dala hai is ne jal
gir gir paDe to koi na liye use sambhaal
muflis mein howen lakh agar ilm aur kamal
sab KHak bech aa ke milati hai muflisi
jab roTiyon ke baTne ka aa kar paDe shumar
muflis ko dewen ek tawangar ko chaar chaar
gar aur mange wo to use jhiDken bar bar
muflis ka haal aah bayan kya karun main yar
muflis ko is jagah bhi chabaati hai muflisi
muflis ki kuchh nazar nahin rahti hai aan par
deta hai apni jaan wo ek ek nan par
har aan TuT paDta hai roTi ke KHwan par
jis tarah kutte laDte hain ek ustuKHwan par
waisa hi muflison ko laDati hai muflisi
karta nahin haya se jo koi wo kaam aah
muflis kare hai us ke tain insiram aah
samjhe na kuchh halal na jaane haram aah
kahte hain jis ko sharm-o-haya nang-o-nam aah
wo sab haya-o-sharm uDati hai muflisi
ye muflisi wo shai hai ki jis ghar mein bhar gai
phir jitne ghar the sab mein usi ghar ke dar gai
zan bachche rote hain goya nani guzar gai
ham-saya puchhte hain ki kya dadi mar gai
bin murde ghar mein shor machati hai muflisi
lazim hai gar ghami mein koi shor-ghul machae
muflis baghair gham ke hi karta hai hae hae
mar jawe gar koi to kahan se use uThae
is muflisi ki KHwariyan kya kya kahun main hae
murde ko be kafan ke gaDati hai muflisi
kya kya muflisi ki kahun KHwari phakaDiyan
jhaDu baghair ghar mein bikharti hain jhakaDiyan
kone mein jale lapTe hain chhappar mein makaDiyan
paisa na howe jin ke jalane ko lakDiyan
dariya mein un ke murde bahati hai muflisi
bibi ki nath na laDkon ke hathon kaDe rahe
kapDe miyan ke baniye ke ghar mein paDe rahe
jab kaDiyan bik gain to khanDar mein paDe rahe
zanjir ne kiwaD na patthar gaDe rahe
aaKHir ko inT inT khudati hai muflisi
naqqash par bhi zor jab aa muflisi kare
sab rang dam mein kar de musawwir ke kirkire
surat bhi us ki dekh ke munh khinch rahe pare
taswir aur naqsh mein kya rang wo bhare
us ke to munh ka rang uDati hai muflisi
jab KHub-ru pe aan ke paDta hai din siyah
phirta hai bose deta hai har ek ko KHwah-maKHwah
hargiz kisi ke dil ko nahin hoti us ki chah
gar husn ho hazar rupe ka to us ko aah
kya kauDiyon ke mol bikati hai muflisi
us KHub-ru ko kaun de ab dam aur diram
jo kauDi kauDi bose ko raazi ho dam-ba-dam
Topi purani do to wo jaane kulah-e-jism
kyunkar na ji ko us chaman-e-husn ke ho gham
jis ki bahaar muft luTati hai muflisi
aashiq ke haal par bhi jab aa muflisi paDe
mashuq apne pas na de us ko baiThne
aawe jo raat ko to nikale wahin use
is Dar se yani raat o dhanna kahin na de
tohmat ye aashiqon ko lagati hai muflisi
kaise hi dhum-dham ki ranDi ho KHush-jamal
jab muflisi ho kan paDe sar pe us ke jal
dete hain us ke nach ko ThaTThe ke bich Dal
nache hai wo to farsh ke upar qadam sambhaal
aur us ko ungliyon pe nachati hai muflisi
us ka to dil Thikane nahin bhaw kya batae
jab ho phaTa dupaTTa to kahe se munh chhupae
le sham se wo subh talak go ki nache gae
auron ko aaTh sat to wo do Take hi pae
is laj se ise bhi lajati hai muflisi
jis kasbi ranDi ka ho halakat se dil hazin
rakhta hai us ko jab koi aa kar tamash-bin
ek paun paise tak bhi wo karti nahin nahin
ye dukh usi se puchhiye ab aah jis ke tain
sohbat mein sari raat jagati hai muflisi
wo to ye samjhe dil mein ki Dhela jo paungi
damDi ke pan damDi ke missi mangaungi
baqi rahi chhadam so pani bharaungi
phir dil mein sochti hai ki kya KHak khaungi
aaKHir chabina us ka bhunati hai muflisi
jab muflisi se howe kalawant ka dil udas
phirta hai le tambure ko har ghar ke aas-pas
ek paw ser aane ki dil mein laga ke aas
gori ka waqt howe to gata hai wo babhas
yan tak hawas us ke uDati hai muflisi
muflis biyah beTi ka karta hai bol bol
paisa kahan jo ja ke wo lawe jahez mol
joru ka wo gala ki phuTa ho jaise Dhol
ghar ki halal-KHori talak karti hai ThiThol
haibat tamam us ki uThati hai muflisi
beTe ka biyah ho to na byahi na sathi hai
ne raushni na baje ki aawaz aati hai
man pichhe ek maili chadar oDhe jati hai
beTa bana hai dulha to bawa baraati hai
muflis ki ye baraat chaDhati hai muflisi
gar byah kar chala hai sahar ko to ye bala
shahdar nana hijDa aur bhaT munDchaDa
khinche hue use chale jate hain ja-ba-ja
wo aage aage laDta hua jata hai chala
aur pichhe TapDiyon ko bajati hai muflisi
darwaze par zanane bajate hain taliyan
aur ghar mein baiThi Domni deti hain galiyan
malan gale ki haar ho dauDi le Daliyan
saqqa khaDa sunata hai baaten razaliyan
ye KHwari ye KHarabi dikhati hai muflisi
koi shum be-haya koi bola nikhaTTu hai
beTi ne jaana bap to mera nikhaTTu hai
beTe pukarte hain ki baba nikhaTTu hai
bibi ye dil main kahti hai achchha nikhaTTu hai
aaKHir nikhaTTu nam dharaati hai muflisi
muflis ka dard dil mein koi Thanta nahin
muflis ki baat ko bhi koi manta nahin
zat aur hasab-nasab ko koi jaanta nahin
surat bhi us ki phir koi pahchanta nahin
yan tak nazar se us ko giraati hai muflisi
jis waqt muflisi se ye aa kar hua tabah
phir koi is ke haal pa karta nahin nigah
dalidari kahe koi Thahra de ru-siyah
jo baaten umr bhar na suni howen us ne aah
wo baaten us ko aa ke sunati hain muflisi
chulha tawana pani ke maTke mein aabi hai
pine ko kuchh na khane ko aur ne rakabi hai
muflis ke sath sab ke tain be-hijabi hai
muflis ki joru sach hai ki yan sab ki bhabi hai
izzat sab us ke dil ki ganwati hai muflisi
kaisa hi aadmi ho par iflas ke tufail
koi gadha kahe use Thahra de koi bail
kapDe phaTe tamam baDhe baal phail phail
munh KHushk dant zard badan par jama hai mail
sab shakl qaidiyon ki banati hai muflisi
har aan doston ki mohabbat ghaTati hai
jo aashna hain un ki to ulfat ghaTati hai
apne ki mehr ghair ki chahat ghaTati hai
sharm-o-haya o izzat-o-hurmat ghaTati hai
han naKHun aur baal baDhati hai muflisi
jab muflisi hui to sharafat kahan rahi
wo qadr zat ki wo najabat kahan rahi
kapDe phaTe to logon mein izzat kahan rahi
tazim aur tawazoa ki babat kahan rahi
majlis ki jutiyon pe biThati hai muflisi
muflis kisi ka laDka jo le pyar se uTha
bap us ka dekhe hath ka aur panw ka kaDa
kahta hai koi juti na lewe kahin chura
naT-khaT uchakka chor daghabaz gaTh-kaTa
sau sau tarah ke aib lagati hai muflisi
rakhti nahin kisi ki ye ghairat ki aan ko
sab KHak mein milati hai hurmat ki shan ko
sau mehnaton mein us ki khapati hai jaan ko
chori pe aa ke Dale hi muflis ke dhyan ko
aaKHir nadan bhik mangati hai muflisi
duniya mein le ke shah se ai yar ta-faqir
KHaliq na muflisi mein kisi ko kare asir
ashraf ko banati hai ek aan mein faqir
kya kya main muflisi ki KHarabi kahun 'nazir'
wo jaane jis ke dil ko jalati hai muflisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.