aaj ki aurat
are
sindh ke sādhū suufī
are
hind ke mard-e-momin
kyā tum ab bhī soch rahe ho
hindī naarī kahlā.e vo
jo ho apne pī kī daasī
pī kī daasī
pī kī daasī vaalī bātāñ
ho ga.iiñ ab to baasī mūrakh
aaj kī naarī aurat ho ga.ī
frēdom jhanDā chait mahīna
kaun DupaTTa kis ne chhīnā
jhumkā kājal gajrā-vajrā
tyaag ke aurat bāġhī ho ga.ī
aaj kī aurat bāġhī hai re
kyā tum ab bhī soch rahe ho
bāġhī aurat kahlā.e vo
jo ho pī ke 'ishq meñ bāġhī
pī ke 'ishq meñ bāġhī mūrakh
hā-hā saade shā'ir mūrakh
aaj kī aurat baby ho ga.ī
suTTā daarū kamra chābī
nain sharābī hoñT gulābī
haath meñ Tharrā muñh pe gaalī
ḳhud ke 'ishq meñ bāġhī baby
karmāñ vaalī karmāñ vaalī
kyā tum ab bhī soch rahe ho
karmāñ vaalī kahlā.e vo
jo ho pī ke man kī saaqī
pī ke man kī saaqī mūrakh
haahā haahā pī ke haahā
aaj kī aurat left kī rind hai
aaj kī aurat right kī king hai
ḳhud-sar 'āqil bāliġh sarkash
huur harāmī zahr kī tarkash
khā jā.egī kachchā chabā kar
aaj kī hindī hinda ho ga.ī
havvā kī beTī zinda ho ga.ī
are
sindh ke sādhū suufī
are
hind ke mard-e-momin
kyā tum ab ye soch rahe ho
havvā kī beTī mar ga.ī yā phir zinda ho ga.ī
are
sindh ke sadhu sufi
are
hind ke mard-e-momin
kya tum ab bhi soch rahe ho
hindi nari kahlae wo
jo ho apne pi ki dasi
pi ki dasi
pi ki dasi wali baatan
ho gain ab to basi murakh
aaj ki nari aurat ho gai
freedom jhanDa chait mahina
kaun DupaTTa kis ne chhina
jhumka kajal gajra-wajra
tyag ke aurat baghi ho gai
aaj ki aurat baghi hai re
kya tum ab bhi soch rahe ho
baghi aurat kahlae wo
jo ho pi ke 'ishq mein baghi
pi ke 'ishq mein baghi murakh
ha-ha sade sha'ir murakh
aaj ki aurat baby ho gai
suTTa daru kamra chabi
nain sharabi honT gulabi
hath mein Tharra munh pe gali
KHud ke 'ishq mein baghi baby
karman wali karman wali
kya tum ab bhi soch rahe ho
karman wali kahlae wo
jo ho pi ke man ki saqi
pi ke man ki saqi murakh
haha haha pi ke haha
aaj ki aurat left ki rind hai
aaj ki aurat right ki king hai
KHud-sar 'aqil baaligh sarkash
hur harami zahr ki tarkash
kha jaegi kachcha chaba kar
aaj ki hindi hinda ho gai
hawwa ki beTi zinda ho gai
are
sindh ke sadhu sufi
are
hind ke mard-e-momin
kya tum ab ye soch rahe ho
hawwa ki beTi mar gai ya phir zinda ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.