man tere jaane ke baad
Interesting Fact
On the sudden death of his mother in Karachi
bujh gayā raushan saverā maañ tire jaane ke baa'd
chhā gayā har sū añdherā maañ tire jaane ke baa'd
ġham kā bādal hai ghanerā maañ tire jaane ke baa'd
dam ghuTā jaatā hai merā maañ tire jaane ke baa'd
kis ke chehre meñ talāshūñ tere chehre kī jhalak
kis ke āñchal meñ milegī terī mamtā kī mahak
kis kī bātoñ meñ sunūñgī tere lahje kī khanak
kis sitāre meñ basegī terī āñkhoñ kī chamak
DhūñDhtī huuñ aks terā maañ tire jaane ke baa'd
dam ghuTā jaatā hai merā maañ tire jaane ke baa'd
phone par kis ko sunā.ūñgī maiñ apnā hāl-e-zār
kis kī bāteñ sun ke aa.egā mire dil ko qarār
kaun poñchhegā mire bahte hue ashkoñ kī dhaar
kaun paanī paḌh ke degā hogā jab mujh ko buḳhār
dil meñ vahshat kā baserā maañ tire jaane ke baa'd
dam ghuTā jaatā hai merā maañ tire jaane ke baa'd
kaun ab mere liye dast-e-duā phailā.egā
kis tarah āfāt kā sadqa utārā jā.egā
kaun marham zaḳhm-e-jāñ par pyaar se rakh pā.egā
dard kī shiddat meñ merī piiTh ko sahlā.egā
ranj-o-ġham ne mujh ko gherā maañ tire jaane ke baa'd
dam ghuTā jaatā hai merā maañ tire jaane ke baa'd
ai karachi ye batā ab kis se milne ā.ūñgī
kis kī bāñhoñ meñ simaT kar chain o sukh maiñ pā.ūñgī
maañ tirī furqat kā sadma maiñ nahīñ sah pā.ūñgī
kis tarah yādoñ se terī apnā dil bahlā.ūñgī
kal-adam maike kā pherā maañ tire jaane ke baa'd
dam ghuTā jaatā hai merā maañ tire jaane ke baa'd
tū to bāġh-e-ḳhuld meñ mehmān-e-yazdāñ ho ga.ī
aur yahāñ par merī duniyā pal meñ vīrāñ ho ga.ī
daf.atan izn-e-safar par ḳhalaq hairāñ ho ga.ī
zindagī bhī ek lamha ko pareshāñ ho ga.ī
ghar meñ ḳhāmoshī kā Derā maañ tire jaane ke baa'd
dam ghuTā jaatā hai merā maañ tire jaane ke baa'd
maġhfirat kī tujh pe maulā ab farāvānī kare
jannat-ul-firdaus meñ bhī rahmat arzānī kare
sabza-e-naurasta us ghar kī nigahbānī kare
āsmāñ terī lahad par shabnam afshānī kare
haq adā kar paañv terā maañ tire jaane ke baa'd
dam ghuTā jaatā hai merā maañ tire jaane ke baa'd
bujh gaya raushan sawera man tere jaane ke ba'd
chha gaya har su andhera man tere jaane ke ba'd
gham ka baadal hai ghanera man tere jaane ke ba'd
dam ghuTa jata hai mera man tere jaane ke ba'd
kis ke chehre mein talashun tere chehre ki jhalak
kis ke aanchal mein milegi teri mamta ki mahak
kis ki baaton mein sunungi tere lahje ki khanak
kis sitare mein basegi teri aankhon ki chamak
DhunDhti hun aks tera man tere jaane ke ba'd
dam ghuTa jata hai mera man tere jaane ke ba'd
phone par kis ko sunaungi main apna haal-e-zar
kis ki baaten sun ke aaega mere dil ko qarar
kaun ponchhega mere bahte hue ashkon ki dhaar
kaun pani paDh ke dega hoga jab mujh ko buKHar
dil mein wahshat ka basera man tere jaane ke ba'd
dam ghuTa jata hai mera man tere jaane ke ba'd
kaun ab mere liye dast-e-dua phailaega
kis tarah aafat ka sadqa utara jaega
kaun marham zaKHm-e-jaan par pyar se rakh paega
dard ki shiddat mein meri piTh ko sahlaega
ranj-o-gham ne mujh ko ghera man tere jaane ke ba'd
dam ghuTa jata hai mera man tere jaane ke ba'd
ai karachi ye bata ab kis se milne aaungi
kis ki banhon mein simaT kar chain o sukh main paungi
man teri furqat ka sadma main nahin sah paungi
kis tarah yaadon se teri apna dil bahlaungi
kal-adam maike ka phera man tere jaane ke ba'd
dam ghuTa jata hai mera man tere jaane ke ba'd
tu to bagh-e-KHuld mein mehman-e-yazdan ho gai
aur yahan par meri duniya pal mein viran ho gai
dafatan izn-e-safar par KHalaq hairan ho gai
zindagi bhi ek lamha ko pareshan ho gai
ghar mein KHamoshi ka Dera man tere jaane ke ba'd
dam ghuTa jata hai mera man tere jaane ke ba'd
maghfirat ki tujh pe maula ab farawani kare
jannat-ul-firdaus mein bhi rahmat arzani kare
sabza-e-naurasta us ghar ki nigahbani kare
aasman teri lahad par shabnam afshani kare
haq ada kar panw tera man tere jaane ke ba'd
dam ghuTa jata hai mera man tere jaane ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.