tarana-e-yaum-e-mazdur
jise bhuuk kī aag garmā rahī hai
vo chūlhoñ kī ḳhālī patīlī kā naġhma
parosegā na.aroñ kī thālī sajā kar
ye din bhuuk ke taish khāne kā din hai
sunāmī kī hai aur na bhūchāl kī hai
na kashmīr kī hai na bangāl kī hai
jis āvāz par jaag uTThegī mamtā
vo kangāl bachchoñ ke kankāl kī hai
us āvāz ko gungunāne kā din hai
baḌe inqilābī haiñ muflis ke tevar
zamāne kī ayyāshiyoñ ko batā do
chalo niilī rātoñ kī chup bastiyoñ ko
saveroñ ke qadmoñ kī aahaT sunā do
mahal se nikaltā nahīñ hai jo sūraj
saḌak par use khīñch laane kā din hai
jalā Daalo va.adoñ kī jhūTī kitābeñ
ġhalat likhne vaalā qalam toḌ Daalo
bajā do takabbur kī īñToñ se īñTeñ
dar-o-bām-e-jāh-o-hasham toḌ Daalo
pahāḌoñ meñ rasta banāne kā din hai
ye din bhuuk ke taish khāne kā din hai
jise bhuk ki aag garma rahi hai
wo chulhon ki KHali patili ka naghma
parosega naron ki thaali saja kar
ye din bhuk ke taish khane ka din hai
sunami ki hai aur na bhuchaal ki hai
na kashmir ki hai na bangal ki hai
jis aawaz par jag uTThegi mamta
wo kangal bachchon ke kankal ki hai
us aawaz ko gungunane ka din hai
baDe inqilabi hain muflis ke tewar
zamane ki ayyashiyon ko bata do
chalo nili raaton ki chup bastiyon ko
saweron ke qadmon ki aahaT suna do
mahal se nikalta nahin hai jo suraj
saDak par use khinch lane ka din hai
jala Dalo wadon ki jhuTi kitaben
ghalat likhne wala qalam toD Dalo
baja do takabbur ki inTon se inTen
dar-o-baam-e-jah-o-hasham toD Dalo
pahaDon mein rasta banane ka din hai
ye din bhuk ke taish khane ka din hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.