daranti
chamak rahe haiñ darāñtī ke tez dandāne
ḳhamīda hal kī ye alhaḌ javān nūr-e-nazar
sunahrī fasl meñ jis vaqt ġhota-zan hogī
to ek giit chhiḌegā musalsal aur darāz
'nadīm' azal se hai taḳhlīq kā yahī andāz
sitāre bo.e ga.e āftāb kaaTe ga.e
ham āftāb zamīr-e-jahāñ meñ bo.eñ ge
to ek roz aziim inqalāb kāTeñge
koī batā.e zamīñ ke ijāra-dāroñ ko
bulā rahe haiñ jo guzrī huī bahāroñ ko
ki aaj bhī to usī shān-e-be-niyāzī se
chamak rahe haiñ darāñtī ke tez dandāne
sunahrī fasl tak us kī chamak nahīñ mauqūf
ki ab nizām-e-kohan bhī usī kī zad meñ hai
ḳhamīda hal kī ye alhaḌ javān nūr-e-nazar
jab is nizām meñ lahrā ke ġhota-zan hogī
to ek giit chhiḌegā musalsal aur darāz
'nadīm' azal se hai taḳhlīq kā yahī andāz
sitāre bo.e ga.e āftāb kaaTe ga.e
chamak rahe hain daranti ke tez dandane
KHamida hal ki ye alhaD jawan nur-e-nazar
sunahri fasl mein jis waqt ghota-zan hogi
to ek git chhiDega musalsal aur daraaz
'nadim' azal se hai taKHliq ka yahi andaz
sitare boe gae aaftab kaTe gae
hum aaftab zamir-e-jahan mein boen ge
to ek roz azim inqalab kaTenge
koi batae zamin ke ijara-daron ko
bula rahe hain jo guzri hui bahaaron ko
ki aaj bhi to usi shan-e-be-niyazi se
chamak rahe hain daranti ke tez dandane
sunahri fasl tak us ki chamak nahin mauquf
ki ab nizam-e-kohan bhi usi ki zad mein hai
KHamida hal ki ye alhaD jawan nur-e-nazar
jab is nizam mein lahra ke ghota-zan hogi
to ek git chhiDega musalsal aur daraaz
'nadim' azal se hai taKHliq ka yahi andaz
sitare boe gae aaftab kaTe gae
- Book : kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 213)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.