kis se mohabbat hai
batā.ūñ kyā tujhe ai ham-nashīñ kis se mohabbat hai
maiñ jis duniyā meñ rahtā huuñ vo is duniyā kī aurat hai
sarāpā rañg-o-bū hai paikar-e-husn-o-latāfat hai
bahisht-e-gosh hotī haiñ guhar-afshāniyāñ us kī
vo mere āsmāñ par aḳhtar-e-sub.h-e-qayāmat hai
surayyā-baḳht hai zohra-jabīñ hai māh-e-tal.at hai
mirā īmāñ hai merī zindagī hai merī jannat hai
merī āñkhoñ ko ḳhīra kar ga.iiñ tābāniyāñ us kī
vo ik mizrāb hai aur chheḌ saktī hai rag-e-jāñ ko
vo chiñgārī hai lekin phūñk saktī hai gulistāñ ko
vo bijlī hai jalā saktī hai saarī bazm-e-imkāñ ko
abhī mere hī dil tak haiñ sharer-sāmāniyāñ us kī
zabāñ par haiñ abhī ismat o taqdīs ke naġhme
vo baḌh jaatī hai is duniyā se aksar is qadar aage
mire taḳh.īl ke baazū bhī us ko chhū nahīñ sakte
mujhe hairān kar detī haiñ nukta-dāniyāñ us kī
jabīñ par sāya-gustar partav-e-qindīl-e-rahbānī
azār-e-narm-o-nāzuk par shafaq kī rañg-afshānī
qadam par loTtī hai azmat-e-tāj-e-sulaimānī
azal se mo'taqid hai mahfil-e-nūrāniyāñ us kī
adā.eñ le ke aa.ī hai vo fitrat ke ḳhazānoñ se
jagā saktī hai mahfil ko nazar ke tāzyānoñ se
vo malka hai ḳhirāj us ne liye haiñ bostānoñ se
bas ik maiñ ne hī aksar kī haiñ nā-farmāniyāñ us kī
vo merī jur.atoñ par be-niyāzī kī sazā denā
havas kī zulmatoñ par naaz kī bijlī girā denā
nigāh-e-shauq kī bebākiyoñ par muskurā denā
junūñ ko dars-e-tamkīñ de ga.iiñ nādāniyāñ us kī
vafā ḳhud kī hai aur merī vafā ko āzmāyā hai
mujhe chāhā hai mujh ko apnī āñkhoñ par biThāyā hai
mirā har sher tanhā.ī meñ us ne gungunāyā hai
sunī haiñ maiñ ne aksar chhup ke naġhma-ḳhvāniyāñ us kī
mire chehre pe jab bhī fikr ke āsār paa.e haiñ
mujhe taskīn dī hai mere andeshe miTā.e haiñ
mire shāne pe sar tak rakh diyā hai giit gaa.e haiñ
mirī duniyā badal detī haiñ ḳhush-alhāniyāñ us kī
lab-e-lālīñ pe lākhā hai na ruḳhsāroñ pe ġhāza hai
jabīñ-e-nūr-afshāñ par na jhūmar hai na Tiikā hai
javānī hai suhāg us kā tabassum us kā gahnā hai
nahīñ ālūda-e-zulmat sahar-dāmāniyāñ us kī
koī mere sivā us kā nishāñ pā hī nahīñ saktā
koī us bārgāh-e-nāz tak jā hī nahīñ saktā
koī us ke junūñ kā zamzama gā hī nahīñ saktā
jhalaktī haiñ mire ash.ār meñ jaulāniyāñ us kī
bataun kya tujhe ai ham-nashin kis se mohabbat hai
main jis duniya mein rahta hun wo is duniya ki aurat hai
sarapa rang-o-bu hai paikar-e-husn-o-latafat hai
bahisht-e-gosh hoti hain guhar-afshaniyan us ki
wo mere aasman par aKHtar-e-subh-e-qayamat hai
surayya-baKHt hai zohra-jabin hai mah-e-talat hai
mera iman hai meri zindagi hai meri jannat hai
meri aankhon ko KHira kar gain tabaniyan us ki
wo ek mizrab hai aur chheD sakti hai rag-e-jaan ko
wo chingari hai lekin phunk sakti hai gulistan ko
wo bijli hai jala sakti hai sari bazm-e-imkan ko
abhi mere hi dil tak hain sharer-samaniyan us ki
zaban par hain abhi ismat o taqdis ke naghme
wo baDh jati hai is duniya se aksar is qadar aage
mere taKHil ke bazu bhi us ko chhu nahin sakte
mujhe hairan kar deti hain nukta-daniyan us ki
jabin par saya-gustar partaw-e-qindil-e-rahbani
azar-e-narm-o-nazuk par shafaq ki rang-afshani
qadam par loTti hai azmat-e-taj-e-sulaimani
azal se mo'taqid hai mahfil-e-nuraniyan us ki
adaen le ke aai hai wo fitrat ke KHazanon se
jaga sakti hai mahfil ko nazar ke tazyanon se
wo malka hai KHiraj us ne liye hain bostanon se
bas ek main ne hi aksar ki hain na-farmaniyan us ki
wo meri juraton par be-niyazi ki saza dena
hawas ki zulmaton par naz ki bijli gira dena
nigah-e-shauq ki bebakiyon par muskura dena
junun ko dars-e-tamkin de gain nadaniyan us ki
wafa KHud ki hai aur meri wafa ko aazmaya hai
mujhe chaha hai mujh ko apni aankhon par biThaya hai
mera har sher tanhai mein us ne gungunaya hai
suni hain main ne aksar chhup ke naghma-KHwaniyan us ki
mere chehre pe jab bhi fikr ke aasar pae hain
mujhe taskin di hai mere andeshe miTae hain
mere shane pe sar tak rakh diya hai git gae hain
meri duniya badal deti hain KHush-alhaniyan us ki
lab-e-lalin pe lakha hai na ruKHsaron pe ghaza hai
jabin-e-nur-afshan par na jhumar hai na Tika hai
jawani hai suhag us ka tabassum us ka gahna hai
nahin aaluda-e-zulmat sahar-damaniyan us ki
koi mere siwa us ka nishan pa hi nahin sakta
koi us bargah-e-naz tak ja hi nahin sakta
koi us ke junun ka zamzama ga hi nahin sakta
jhalakti hain mere ashaar mein jaulaniyan us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.