main ki ek bani-adam
maiñ ki ik banī-ādam
ālam-e-anāsir kā
ik ḳhamīr-e-tāza-dam
ik hayāt mujh meñ hai
kā.enāt mujh meñ hai
merī saltanat hai sab
mujh se hai jahāñ qaa.em
maiñ huuñ gardish-e-paiham
rau meñ hai lahū har dam
kyā ḳhabar lahū kyā hai
ek shorish-e-hastī
ek dāḳhlī tūfāñ
ek mahshar-e-daurāñ
kyā ḳhabar lahū kyā hai
gardisheñ sitāroñ kī
gardish āsmānoñ kī
gardisheñ zamīnoñ kī
gardisheñ zamānoñ kī
kyā ḳhabar lahū kyā hai
ye nizām-e-kul jaarī
ya.anī harkateñ saarī
sab lahū kī harakat hai
hai lahū ke dam se hī
amn bhii, mohabbat bhī
jañg bhii, adāvat bhī
shorish o baġhāvat bhī
kyā ḳhabar lahū kyā hai
gardisheñ lahū kī jab
mujh meñ shor kartī haiñ
be-ḳhudī ke nashshe meñ
jism kā har ik ḳhaliya
raqs karne lagtā hai
aur phir ye hotā hai
ḳhushkiyoñ kā har zarra
pāniyoñ kā har qatra
ek be-badan jazba
raqs karne lagtā hai
is jinnoñ ke aalam meñ
zaḳhm jaag jaate haiñ
dard chīḳh uThtā hai
aur phir ye hotā hai
rūh-o-dil kī vaadī meñ
naġhme guuñj uThte haiñ
naġhma-hā-e-sehr-añgez
be-karāñ fazāoñ meñ
lā-makāñ ḳhalāoñ meñ
soz aur fuġhāñ ban kar
mīThī lai meñ Dhal Dhal kar
jab bikharne lagte haiñ
aise sehr-ālam meñ
ek kaif-o-mastī kā
nashsha chhāne lagtā hai
aur phir ye hotā hai
kā.enāt kī har shai
gungunāne lagtī hai
aur phir vahī naġhme
rūh-o-dil ke chhāloñ ko
taar, taar zaḳhmoñ ko
nīm-jāñ karāhoñ ko
lāla-zār dāġhoñ ko
jāgte phaphūloñ ko
mast loriyāñ de kar
ḳhvāb ke gulistāñ meñ
lāpata zamāne tak
yuuñ hī chhoḌ dete haiñ
asl meñ vahī naġhme
dard kā mudāvā haiñ!!
main ki ek bani-adam
aalam-e-anasir ka
ek KHamir-e-taza-dam
ek hayat mujh mein hai
kaenat mujh mein hai
meri saltanat hai sab
mujh se hai jahan qaem
main hun gardish-e-paiham
rau mein hai lahu har dam
kya KHabar lahu kya hai
ek shorish-e-hasti
ek daKHli tufan
ek mahshar-e-dauran
kya KHabar lahu kya hai
gardishen sitaron ki
gardish aasmanon ki
gardishen zaminon ki
gardishen zamanon ki
kya KHabar lahu kya hai
ye nizam-e-kul jari
yani harkaten sari
sab lahu ki harakat hai
hai lahu ke dam se hi
amn bhi, mohabbat bhi
jang bhi, adawat bhi
shorish o baghawat bhi
kya KHabar lahu kya hai
gardishen lahu ki jab
mujh mein shor karti hain
be-KHudi ke nashshe mein
jism ka har ek KHaliya
raqs karne lagta hai
aur phir ye hota hai
KHushkiyon ka har zarra
paniyon ka har qatra
ek be-badan jazba
raqs karne lagta hai
is jinnon ke aalam mein
zaKHm jag jate hain
dard chiKH uThta hai
aur phir ye hota hai
ruh-o-dil ki wadi mein
naghme gunj uThte hain
naghma-ha-e-sehr-angez
be-karan fazaon mein
la-makan KHalaon mein
soz aur fughan ban kar
miThi lai mein Dhal Dhal kar
jab bikharne lagte hain
aise sehr-alam mein
ek kaif-o-masti ka
nashsha chhane lagta hai
aur phir ye hota hai
kaenat ki har shai
gungunane lagti hai
aur phir wahi naghme
ruh-o-dil ke chhaalon ko
tar, tar zaKHmon ko
nim-jaan karahon ko
lala-zar daghon ko
jagte phaphulon ko
mast loriyan de kar
KHwab ke gulistan mein
lapata zamane tak
yun hi chhoD dete hain
asl mein wahi naghme
dard ka mudawa hain!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.