Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

MORE BYMaikash Akbarabadi

    ek aurat zabān se

    chal mirī sundar sahelī ham kahīñ chhup jā.eñge

    aaj hai holī din pītam mire ghar ā.eñge

    sāmne jab maiñ na ā.ūñgī bahut ghabrā.eñge

    har jagah DhūñDeñge mujh ko DhūñDh kar sharmā.eñge

    sāmne aa jā.ūñgī pītam ke ḳhush ho jā.eñge

    un meñ maiñ kho jā.ūñgī aur mujh meñ vo kho jā.eñge

    mere man ke chheḌne ko mujh se vo baiTheñge duur

    maiñ jo uljhūñgī to pītam muskurā.eñge zarūr

    uTh rahī hai lahr lahrā rahā hai merā man

    ho sake to chuum lūñgī aaj pītam ke charan

    chhīn kar ākāsh godī se taare lā.ūñgī

    un ko bhī dāruñgī aur maiñ ḳhud bhī daarī jā.ūñgī

    sej phūloñ banā.ūñgī maiñ pītam ke liye

    barrā se kah do ki ab fursat nahīñ ġham ke liye

    aaj pītam ā.eñge aa.egī mere ghar bahār

    dekh bigḌā to nahīñ ai aa.ine merā siñghār

    uudī uudī badliyoñ se chhan ke girtī hai phuvār

    aaj pītam ā.eñge maiñ ho rahī huuñ be-qarār

    ban gayā hai zarra zarra mere ghar chashm-e-hūr

    aaj pītam ā.eñge aa.egā mere ghar meñ nuur

    chhiḌ rahī hai rāgnī man rabāb-o-chañg se

    aaj nahlā.ūñgī pītam ko gulābī rañg se

    bhiig jā.eñge to dāman se havā dūñgī unheñ

    band kar dūñgī dvāre aaj rokūñgī unheñ

    sarv ke saa.e meñ paatī huuñ maiñ pītam jhalak

    aaj har āvāz meñ suntī huuñ sāġhar khanak

    mire ghar ā.eñge shāyad nahīñ tujh ko ḳhabar

    ai papīhe bāvre Topī kahāñ bolā na kar

    ek aurat ki zaban se

    chal meri sundar saheli hum kahin chhup jaenge

    aaj hai holi ka din pitam mere ghar aaenge

    samne jab main na aaungi bahut ghabraenge

    har jagah DhunDenge mujh ko DhunDh kar sharmaenge

    samne aa jaungi pitam ke KHush ho jaenge

    un mein main kho jaungi aur mujh mein wo kho jaenge

    mere man ke chheDne ko mujh se wo baiThenge dur

    main jo uljhungi to pitam muskuraenge zarur

    uTh rahi hai lahr si lahra raha hai mera man

    ho sake to chum lungi aaj pitam ke charan

    chhin kar aakash ki godi se tare laungi

    un ko bhi darungi aur main KHud bhi dari jaungi

    sej phulon ki banaungi main pitam ke liye

    barra se kah do ki ab fursat nahin gham ke liye

    aaj pitam aaenge aaegi mere ghar bahaar

    dekh bigDa to nahin ai aaine mera singhaar

    udi udi badliyon se chhan ke girti hai phuwar

    aaj pitam aaenge main ho rahi hun be-qarar

    ban gaya hai zarra zarra mere ghar ka chashm-e-hur

    aaj pitam aaenge aaega mere ghar mein nur

    chhiD rahi hai ragni man ki rabab-o-chang se

    aaj nahlaungi pitam ko gulabi rang se

    bhig jaenge to daman se hawa dungi unhen

    band kar dungi dware aaj rokungi unhen

    sarw ke sae mein pati hun main pitam ki jhalak

    aaj har aawaz mein sunti hun saghar ki khanak

    pi mere ghar aaenge shayad nahin tujh ko KHabar

    ai papihe bawre Topi kahan bola na kar

    Source :
    • Maikhana

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now