baDa pyara mera hindostan hai
baḌā pyārā mirā hindostāñ hai
bahāroñ se sajā ye gulistāñ hai
himāla kī bulandī kah rahī hai
mire dāman meñ gañgā bah rahī hai
mirī āġhosh meñ jamunā ravāñ hai
baḌā pyārā mirā hindostāñ hai
yahāñ ubhre hazāroñ dharam-o-īmāñ
haiñ ik parcham tale hindū musalmāñ
milan kī raag jantā kī zabāñ hai
baḌā pyārā mirā hindostāñ hai
ragoñ meñ dauḌtī hai ravānī
bahādur shaah kī sun kar kahānī
bhagat-singh aaj bhī zinda yahāñ hai
baḌā pyārā mirā hindostāñ hai
baDa pyara mera hindostan hai
bahaaron se saja ye gulistan hai
himala ki bulandi kah rahi hai
mere daman mein ganga bah rahi hai
meri aaghosh mein jamuna rawan hai
baDa pyara mera hindostan hai
yahan ubhre hazaron dharam-o-iman
hain ek parcham tale hindu musalman
milan ki rag janta ki zaban hai
baDa pyara mera hindostan hai
ragon mein dauDti hai rawani
bahadur shah ki sun kar kahani
bhagat-singh aaj bhi zinda yahan hai
baDa pyara mera hindostan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.