lahu ke charagh
charāġh itne jalāo zamīñ ke māthe par
siyāh raat ke āñchal ko nuur se bhar do
ujālā chāñd sitāroñ kā maañd paḌ jaa.e
falak kī raushnī is raushnī meñ gum kar do
ye raat saal meñ bas ek baar aatī hai
is ek raat pe qurbān zindagī kar do
jalā ke apne lahū ke charāġh ai logo
jahāñ-jahāñ bhī añdherā hai raushnī kar do
jo diip jaltā hai mandir meñ raushnī ke liye
vahī to sehn-e-haram ko bhī jagmagātā hai
jo farq ham ne kiyā hai rahīm-o-rām ke biich
usī ḳhalīj usī farq ko miTātā hai
ujālā jis kā koī dharm hai na maz.hab hai
baġhair farq sabhī ko gale lagātā hai
sanam-kada ho haram ho ki bazm-e-mai-ḳhāna
har ik ke gosha-e-zulmat ko jagmagātā hai
charagh itne jalao zamin ke mathe par
siyah raat ke aanchal ko nur se bhar do
ujala chand sitaron ka mand paD jae
falak ki raushni is raushni mein gum kar do
ye raat sal mein bas ek bar aati hai
is ek raat pe qurban zindagi kar do
jala ke apne lahu ke charagh ai logo
jahan-jahan bhi andhera hai raushni kar do
jo dip jalta hai mandir mein raushni ke liye
wahi to sehn-e-haram ko bhi jagmagata hai
jo farq hum ne kiya hai rahim-o-ram ke bich
usi KHalij usi farq ko miTata hai
ujala jis ka koi dharm hai na mazhab hai
baghair farq sabhi ko gale lagata hai
sanam-kada ho haram ho ki bazm-e-mai-KHana
har ek ke gosha-e-zulmat ko jagmagata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.