dam-e-tahrir
dam-e-tahrīr
jin nāpāk gandī auratoñ se
kausar-o-tasnīm katrā ke guzreñgī
jin par duudh aur shahd ke pyāle harām kar diye jā.eñge
jin ko malā.ek duzdīda nigāhoñ se bhī dekhnā na chāheñge
jin kā Thikāna jahannam hogā
jinheñ dozaḳh kī aag roz jalā.egī
jin par ġhaiz-o-ġhazab ke koḌe har saa.at barsā.e jā.eñge
un meñ ek maiñ bhī huuñ
mere paañv meñ beḌiyāñ pahnāne
aur mujhe mahbūs-ḳhāne meñ us vaqt tak rakhne kā hukm diyā gayā thā
jab tak ki maiñ apnī sharāratoñ se baaz na aa jā.ūñ
mujhe har roz baal se bārīk rāste par chalnā paḌtā hai
talvār kī dhaar mujhe zaḳhmī kiye detī hai
mere badan par roz na.e aable paḌte haiñ
merī āñkheñ garm salāḳhoñ se dāġhī jaatī haiñ
mujh par roz sang-bārī hotī hai
jinhoñ ne ek dūsre se baat band kar dī
ek dūsre ke saath khānā aur sonā chhoḌ diyā
un kī darāḌeñ bhī gahrī hotī ga.iiñ
mohabbat ko zinā kahne kī rasm bahut purānī hai
aur ahd-o-paimāñ kā bharam qaa.em rakhnā dushvār
jaane kyoñ
jannat kī havā.eñ bilā jhijhak aatī haiñ
aur gunāhgār auratoñ ko chhū kar guzar jaatī haiñ
kuñ.eñ meñ āzūqa pahuñchāne vāloñ kī rassiyāñ chhoTī paḌ ga.ī haiñ
apne pasīne meñ tar roTī kā ik ik luqma
mann-o-salvā se bhī ziyāda ḳhush-zā.eqa hotā jā rahā hai
baa.eñ kañdhe par ye bojh kaisā
aadmī koī hamārā dam-e-tahrīr bhī thā
dam-e-tahrir
jin napak gandi auraton se
kausar-o-tasnim katra ke guzrengi
jin par dudh aur shahd ke pyale haram kar diye jaenge
jin ko malaek duzdida nigahon se bhi dekhna na chahenge
jin ka Thikana jahannam hoga
jinhen dozaKH ki aag roz jalaegi
jin par ghaiz-o-ghazab ke koDe har saat barsae jaenge
un mein ek main bhi hun
mere panw mein beDiyan pahnane
aur mujhe mahbus-KHane mein us waqt tak rakhne ka hukm diya gaya tha
jab tak ki main apni shararaton se baz na aa jaun
mujhe har roz baal se barik raste par chalna paDta hai
talwar ki dhaar mujhe zaKHmi kiye deti hai
mere badan par roz nae aable paDte hain
meri aankhen garm salaKHon se daghi jati hain
mujh par roz sang-bari hoti hai
jinhon ne ek dusre se baat band kar di
ek dusre ke sath khana aur sona chhoD diya
un ki daraDen bhi gahri hoti gain
mohabbat ko zina kahne ki rasm bahut purani hai
aur ahd-o-paiman ka bharam qaem rakhna dushwar
jaane kyon
jannat ki hawaen bila jhijhak aati hain
aur gunahgar auraton ko chhu kar guzar jati hain
kunen mein aazuqa pahunchane walon ki rassiyan chhoTi paD gai hain
apne pasine mein tar roTi ka ek ek luqma
mann-o-salwa se bhi ziyaada KHush-zaeqa hota ja raha hai
baen kandhe par ye bojh kaisa
aadmi koi hamara dam-e-tahrir bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.