chadar aur chaar-diwari
huzūr maiñ is siyāh chādar kā kyā karūñgī
ye aap kyuuñ mujh ko baḳhshte haiñ ba-sad ināyat
Four walls and a black veil
na sog meñ huuñ ki us ko oḌhūñ
ġham-o-alam ḳhalq ko dikhā.ūñ
na rog huuñ maiñ ki is kī tārīkiyoñ meñ ḳhiffat se Duub jā.ūñ
na maiñ gunāhgār huuñ na mujrim
ki is syāhī kī mehr apnī jabīñ pe har haal meñ lagā.ūñ
agar na gustāḳh mujh ko samjheñ
agar maiñ jaañ kī amaan pā.ūñ
to dast-basta karūñ guzārish
ki banda-parvar
huzūr ke hujra-e-ma.attar meñ ek lāsha paḌā huā hai
na jaane kab kā galā saḌā hai
ye aap se rahm chāhtā hai
huzūr itnā karam to kiije
siyāh chādar mujhe na dījiye
siyāh chādar se apne hujre kī be-kafan laash Dhāñp dījiye
ki us se phūTī hai jo ufūnat
vo kūche kūche meñ hāñptī hai
vo sar paTaktī hai chaukhaToñ par
barahnagī tan kī Dhāñptī hai
suneñ zarā dil-ḳharāsh chīḳheñ
banā rahī haiñ ajab hayūle
jo chādaroñ meñ bhī haiñ barahna
What shall I do, Sire, with this black veil?
Why do you bestow on me this great favour?
I am not in mourning that I should wear it
To show the world my grief. Nor am I sick
That I should hide my shame
In its dark folds. Stamp my forehead with this
Dismal seal? If I am not too impudent, Sire
If you assure my life, may I tell you,
Most humbly: There lies, in your perfumed chamber,
A corpse that stinks. It begs for pity.
Cover that shroudless corpse. Not me.
Its stench is everywhere.
It cries for seclusion.
ye kaun haiñ jānte to hoñge
huzūr pahchānte to hoñge
ye lauñDiyāñ haiñ
ki yarġhamālī halāl shab-bhar rahe haiñ
dam-e-sub.h dar-ba-dar haiñ
huzūr ke nutfe ko mubārak ke nisf virsa se be-mo'atabar haiñ
ye bībayāñ haiñ
ki zaujagī kā ḳhirāj dene
qatār-andar-qatār baarī kī muntazir haiñ
ye bachchiyāñ haiñ
ki jin ke sar par phirā jo hazrat kā dast-e-shafqat
to kam-sinī ke lahū se rīsh-e-saped rañgīn ho ga.ī hai
huzūr ke hajla-e-mo.attar meñ zindagī ḳhuun ro ga.ī hai
paḌā huā hai jahāñ ye lāsha
tavīl sadiyoñ se qatl-e-insāniyat kā ye ḳhūñ-chakāñ tamāsha
ab is tamāsha ko ḳhatm kiije
huzūr ab is ko Dhāñp dījiye
siyāh chādar to ban chukī hai mirī nahīñ aap kī zarūrat
ki is zamīñ par vajūd merā nahīñ faqat ik nishān-e-shahvat
hayāt kī shāh-rāh par jagmagā rahī hai mirī zehānat
zamīn ke ruḳh par jo hai pasīna to jhilmilātī hai merī mehnat
ye chār-dīvāriyāñ ye chādar galī saḌī laash ko mubārak
khulī fazāoñ meñ bādbāñ khol kar baḌhegā mirā safīna
maiñ ādam-e-nau kī ham-safar huuñ
ki jis ne jiitī mirī bharosa-bharī rifāqat
huzur main is siyah chadar ka kya karungi
ye aap kyun mujh ko baKHshte hain ba-sad inayat
Four walls and a black veil
na sog mein hun ki us ko oDhun
gham-o-alam KHalq ko dikhaun
na rog hun main ki is ki tarikiyon mein KHiffat se Dub jaun
na main gunahgar hun na mujrim
ki is syahi ki mehr apni jabin pe har haal mein lagaun
agar na gustaKH mujh ko samjhen
agar main jaan ki aman paun
to dast-basta karun guzarish
ki banda-parwar
huzur ke hujra-e-mattar mein ek lasha paDa hua hai
na jaane kab ka gala saDa hai
ye aap se rahm chahta hai
huzur itna karam to kije
siyah chadar mujhe na dijiye
siyah chadar se apne hujre ki be-kafan lash Dhanp dijiye
ki us se phuTi hai jo ufunat
wo kuche kuche mein hanpti hai
wo sar paTakti hai chaukhaTon par
barahnagi tan ki Dhanpti hai
sunen zara dil-KHarash chiKHen
bana rahi hain ajab hayule
jo chadaron mein bhi hain barahna
What shall I do, Sire, with this black veil?
Why do you bestow on me this great favour?
I am not in mourning that I should wear it
To show the world my grief. Nor am I sick
That I should hide my shame
In its dark folds. Stamp my forehead with this
Dismal seal? If I am not too impudent, Sire
If you assure my life, may I tell you,
Most humbly: There lies, in your perfumed chamber,
A corpse that stinks. It begs for pity.
Cover that shroudless corpse. Not me.
Its stench is everywhere.
It cries for seclusion.
ye kaun hain jaante to honge
huzur pahchante to honge
ye launDiyan hain
ki yarghamali halal shab-bhar rahe hain
dam-e-subh dar-ba-dar hain
huzur ke nutfe ko mubarak ke nisf wirsa se be-mo'atabar hain
ye bibayan hain
ki zaujagi ka KHiraj dene
qatar-andar-qatar bari ki muntazir hain
ye bachchiyan hain
ki jin ke sar par phira jo hazrat ka dast-e-shafqat
to kam-sini ke lahu se rish-e-saped rangin ho gai hai
huzur ke hajla-e-moattar mein zindagi KHun ro gai hai
paDa hua hai jahan ye lasha
tawil sadiyon se qatl-e-insaniyat ka ye KHun-chakan tamasha
ab is tamasha ko KHatm kije
huzur ab is ko Dhanp dijiye
siyah chadar to ban chuki hai meri nahin aap ki zarurat
ki is zamin par wajud mera nahin faqat ek nishan-e-shahwat
hayat ki shah-rah par jagmaga rahi hai meri zehanat
zamin ke ruKH par jo hai pasina to jhilmilati hai meri mehnat
ye chaar-diwariyan ye chadar gali saDi lash ko mubarak
khuli fazaon mein baadban khol kar baDhega mera safina
main aadam-e-nau ki ham-safar hun
ki jis ne jiti meri bharosa-bhari rifaqat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.