apni taswir mujhe aap banani hogi
mere fankār
''mujhe ḳhuub tarāshā tū ne
aañkh nīlam kī
badan chāñdī kā
yāqūt ke lab
ye tire
zauq-e-talab ke bhī haiñ
me.aar ajab
paaoñ meñ mere
ye pāzeb
sajā dī tū ne
nuqra.ī taar meñ āvāz muñDhā dī tū ne
ye javāhar se jaḌī
qīmtī mūrat merī
apne sāmān-e-ta.ayyush meñ lagā dī tū ne
maiñ ne maanā
ki hasīñ hai tirā shahkār
magar
tere shahkār meñ
mujh jaisī koī baat nahīñ
tujh ko nīlam sī
nazar aatī haiñ āñkheñ merī
dard ke in meñ samundar
nahīñ dekhe tū ne
tū ne
jab kī
lab o ruḳhsār kī ḳhattātī kī
jo varaq likkhe the
dil par
nahīñ dekhe tū ne
mere fankār
tire zauq
tire fan kā kamāl
mere pindār kī qīmat
na chukā pā.egā
tū ne but yā to tarāshe
yā tarāshe haiñ ḳhudā
tū bhalā kyā mirī tasvīr
banā pā.egā
tere aurāq se
ye shakl miTānī hogī
apnī tasvīr
mujhe aap banānī hogī
hosh bhī
jur.at-e-guftār bhī
bīnā.ī bhī
jur.at-e-ishq bhī hai
zabt kī ra.anā.ī bhī
jitne jauhar haiñ numū ke
mirī ta.amīr meñ haiñ
dekh ye rañg
jo taaza mirī tasvīr meñ haiñ
mere fankar
mujhe KHub tarasha tu ne
aankh nilam ki
badan chandi ka
yaqut ke lab
ye tere
zauq-e-talab ke bhi hain
mear ajab
paon mein mere
ye pazeb
saja di tu ne
nuqrai tar mein aawaz munDha di tu ne
ye jawahar se jaDi
qimti murat meri
apne saman-e-tayyush mein laga di tu ne
main ne mana
ki hasin hai tera shahkar
magar
tere shahkar mein
mujh jaisi koi baat nahin
tujh ko nilam si
nazar aati hain aankhen meri
dard ke in mein samundar
nahin dekhe tu ne
tu ne
jab ki
lab o ruKHsar ki KHattati ki
jo waraq likkhe the
dil par
nahin dekhe tu ne
mere fankar
tere zauq
tere fan ka kamal
mere pindar ki qimat
na chuka paega
tu ne but ya to tarashe
ya tarashe hain KHuda
tu bhala kya meri taswir
bana paega
tere auraq se
ye shakl miTani hogi
apni taswir
mujhe aap banani hogi
hosh bhi
jurat-e-guftar bhi
binai bhi
jurat-e-ishq bhi hai
zabt ki ranai bhi
jitne jauhar hain numu ke
meri tamir mein hain
dekh ye rang
jo taza meri taswir mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.