Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agle janam mohe biTiya hi kijo

Ishrat Afreen

agle janam mohe biTiya hi kijo

Ishrat Afreen

MORE BYIshrat Afreen

    mirī biTiyā

    tujhe bhī maiñ ne janmā thā usī dukh se

    ki jis dukh se tire bhaa.ī ko janmā

    tujhe bhī maiñ ne apne tan se vābasta rakhā

    utnī muddat tak

    ki jab tak tere bhaa.ī ko

    mire tan ke har ik dukh-sukh meñ tum donoñ hissa

    ek jaisā mādar-e-fitrat ne rakkhā thā

    magar jis ghaḌī dhartī pe aa.ī

    virāsat bāñTne vāloñ ne apnā faisla likkhā

    tujhe mujh se shikāyat hai

    ki maiñ ne pyaar taqsīm meñ tafrīq bartī hai

    khilaune aur aañsū jo baTvārā huā aksar

    tire hisse meñ aañsū aa.e haiñ pyārī

    tujhe ye jaan kar hairat to hogī

    mire hisse aksar tar-nivāla bhā.iyoñ ko milā kartā

    magar maañ se koī kaise gila kartā

    mirī jaañ rizq taqsīm meñ

    tafrīq qānūn to sadiyoñ purānā hai

    virāsat bāñTne vāloñ ne jo bhī faisla likkhā

    use ham ne bajā samjhā bajā likkhā

    hamārā alamiya ye hai

    ki apnī raah dīvār ham ḳhud haiñ

    ye aurat hai

    ki jo aurat ke haq meñ ab bhī gūñgī hai

    ye aurat hai

    ki jo aurat ummīdoñ qātil hai

    to kyā tārīḳh ḳhud ko yūñhī dohrātī rahegī

    nahīñ aisā nahīñ hogā

    ye terī jur.at-e-iz.hār ye biphrā huā lahja

    yaqīñ mujh ko dilāte haiñ

    tirī beTī ko ye shikva nahīñ hogā

    meri biTiya

    tujhe bhi main ne janma tha usi dukh se

    ki jis dukh se tere bhai ko janma

    tujhe bhi main ne apne tan se wabasta rakha

    utni hi muddat tak

    ki jab tak tere bhai ko

    mere tan ke har ek dukh-sukh mein tum donon ka hissa

    ek jaisa madar-e-fitrat ne rakkha tha

    magar tu jis ghaDi dharti pe aai

    wirasat banTne walon ne apna faisla likkha

    tujhe mujh se shikayat hai

    ki main ne pyar ki taqsim mein tafriq barti hai

    khilaune aur aansu ka jo baTwara hua aksar

    tere hisse mein aansu aae hain pyari

    tujhe ye jaan kar hairat to hogi

    mere hisse ka aksar tar-niwala bhaiyon hi ko mila karta

    magar man se koi kaise gila karta

    meri jaan rizq ki taqsim mein

    tafriq ka qanun to sadiyon purana hai

    wirasat banTne walon ne jo bhi faisla likkha

    use hum ne baja samjha baja likkha

    hamara alamiya ye hai

    ki apni rah ki diwar hum KHud hain

    ye aurat hai

    ki jo aurat ke haq mein ab bhi gungi hai

    ye aurat hai

    ki jo aurat ki ummidon ki qatil hai

    to kya tariKH KHud ko yunhi dohraati rahegi

    nahin aisa nahin hoga

    ye teri jurat-e-izhaar ye biphra hua lahja

    yaqin mujh ko dilate hain

    teri beTi ko ye shikwa nahin hoga

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now