aadhi gawahi
aziim munsif!!
hamārī qismat kī har adālat kā faisla hai
ki apnī be-hurmatī kī farmān le ke jaa.eñ
to apnā koī gavāh laa.eñ
gavāh
rishtoñ ke mohtaram kuñDliyoñ meñ baiThe
sañpoliyoñ kā
gavāh aisī haveliyoñ kā
ki jin meñ qānūn paaoñ dharne se kapkapā.e
kuñvārī chīḳheñ
bilak bilak ke sadā.eñ kartī
in hī añdheroñ meñ Duub jaa.eñ
magar vo is be basī kā apnī
na ek koī gavāh paa.eñ
kahāñ se laa.eñ
gavāh in bheḌiyoñ kā
jo apnī shahvatoñ par
ibādatoñ kī muqaddas-o-mohtaram ebā.eñ
sajā.e baiThe hoñ taak meñ
sauñdhe kachche jismoñ ke
jin ke bajroñ ke uud meñ
siskiyāñ sulagtī hoñ raat ko
aur din tilāvat ke lahn se
jagmagā.e jaa.eñ
ye mohtaram bheḌiye
ham un kī ḳhabāsatoñ kā gavāh laa.eñ
kahāñ se laa.eñ
hameñ koī aisā mo.ajaza de
ki gūñgī andhī siyāh shab ko
gavāhiyoñ kā hunar sikhā.eñ
ḳhabīr hai to
basīr hai to
tū jāntā hai
ki aaj tak maut ke alāva
koī na apnā gavāh paayā
hamīñ pe TūTīñ qayāmateñ bhī
hamīñ ne zillat kā baar uThāyā
kitāb-e-insāf ke musannif
tire sahīfe to kah rahe haiñ
ki saare insān zī-sharaf haiñ
fahīm haiñ
bāliġhun-nazar haiñ
sab apnī apnī kitāb kī rū se apne baare meñ bā-ḳhabar haiñ
to phir hamāre hī pusht par haath kyuuñ bañdhe haiñ
hamārī hī sab gavāhiyoñ par ye be-yaqīnī kī mohr kyuuñ hai
sabhī sahīfoñ meñ ye likhā hai
tire tarāzū kā
koī palḌā jhukā nahīñ hai
to kyā ye samjheñ
hamārā koī ḳhudā nahīñ hai
azim munsif!!
hamari qismat ki har adalat ka faisla hai
ki apni be-hurmati ki farman le ke jaen
to apna koi gawah laen
gawah
rishton ke mohtaram kunDliyon mein baiThe
sanpoliyon ka
gawah aisi haweliyon ka
ki jin mein qanun paon dharne se kapkapae
kunwari chiKHen
bilak bilak ke sadaen karti
in hi andheron mein Dub jaen
magar wo is be basi ka apni
na ek koi gawah paen
kahan se laen
gawah in bheDiyon ka
jo apni shahwaton par
ibaadaton ki muqaddas-o-mohtaram ebaen
sajae baiThe hon tak mein
saundhe kachche jismon ke
jin ke bajron ke ud mein
siskiyan sulagti hon raat ko
aur din tilawat ke lahn se
jagmagae jaen
ye mohtaram bheDiye
hum un ki KHabasaton ka gawah laen
kahan se laen
hamein koi aisa moajaza de
ki gungi andhi siyah shab ko
gawahiyon ka hunar sikhaen
KHabir hai to
basir hai to
tu jaanta hai
ki aaj tak maut ke alawa
koi na apna gawah paya
hamin pe TuTin qayamaten bhi
hamin ne zillat ka bar uThaya
kitab-e-insaf ke musannif
tere sahife to kah rahe hain
ki sare insan zi-sharaf hain
fahim hain
baalighun-nazar hain
sab apni apni kitab ki ru se apne bare mein ba-KHabar hain
to phir hamare hi pusht par hath kyun bandhe hain
hamari hi sab gawahiyon par ye be-yaqini ki mohr kyun hai
sabhi sahifon mein ye likha hai
tere taraazu ka
koi palDa jhuka nahin hai
to kya ye samjhen
hamara koi KHuda nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.