alwidaa
alvidā.a
kaise māh-o-sāl guzre
ab na kuchh bhī yaad hai
sirf haiñ dhuñdle nuqūsh
yā basārat kī kamī hai
kuchh nazar aatā nahīñ
bas kitāboñ aur filmoñ meñ rahī
ik basīrat kī talāsh
kuchh na kuchh roTī kī bhī thī justujū
jaane kis manzil kī thī vo aarzū
be-sabab logoñ se yārāna rahā
aur phir tanhā rahā barsoñ talak
sab the qaidī apne apne jaal ke
tamannāoñ kī daldal meñ paḌe
kis meñ himmat thī ki badle zindagānī ke purāne ḳhol ko
ham se sarkash ko diyā karte the naam
aur hañs kar ḳhush huā karte saare ajnabī
kaun samjhā.e ki ham mahkūm haiñ mazlūm haiñ
bebasī kaise muqaddar ban ga.ī
bolegā kaun
ḳhauf aisā hai ki koī shaḳhs kuchh kahtā nahīñ
jaane kis tūfān ke sab muntazir haiñ
but bane
kaise chillā.ūñ ki apnā ham-navā koī nahīñ
alvidā.a ḳhud apne saa.e ko magar
kahnā paḌā
alwidaa
kaise mah-o-sal guzre
ab na kuchh bhi yaad hai
sirf hain dhundle nuqush
ya basarat ki kami hai
kuchh nazar aata nahin
bas kitabon aur filmon mein rahi
ek basirat ki talash
kuchh na kuchh roTi ki bhi thi justuju
jaane kis manzil ki thi wo aarzu
be-sabab logon se yarana raha
aur phir tanha raha barson talak
sab the qaidi apne apne jal ke
tamannaon ki daldal mein paDe
kis mein himmat thi ki badle zindagani ke purane KHol ko
hum se sarkash ko diya karte the nam
aur hans kar KHush hua karte sare ajnabi
kaun samjhae ki hum mahkum hain mazlum hain
bebasi kaise muqaddar ban gai
bolega kaun
KHauf aisa hai ki koi shaKHs kuchh kahta nahin
jaane kis tufan ke sab muntazir hain
but bane
kaise chillaun ki apna ham-nawa koi nahin
alwidaa KHud apne sae ko magar
kahna paDa
- Book : Dastavez (Pg. 297)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.