laḌakpan kī rafīq ai ham-navā-e-naġhma-e-tiflī
hamārī gyārah saala zindagī kī dil-nashīñ vaadī
hamāre zehn kī taḳh.īl kī ehsās kī sāthī
hamāre zauq kī rahbar hamārī aql kī haadī
hamāre dāman-e-afkār par terā hī saayā hai
ḳhushā schōl ki ham ne tujhī se faiz paayā hai
hamārī dhaḌkaneñ tere hī bām-o-dar meñ pinhāñ haiñ
tire māhaul meñ ham sab ke mahsūsāt ġhaltāñ haiñ
hamārī ārzueñ tere dālānoñ meñ raqsāñ haiñ
nuqūsh-e-ahd-e-rafta tere māthe par numāyāñ haiñ
hamāre vāste tū ek lāfānī masarrat hai
hameñ schōl tere zarre zarre se mohabbat hai
tire āġhosh meñ bachpan ke ham ne din bitā.e haiñ
tire āñgan meñ kitnā ro.e kitnā muskurā.e haiñ
yahāñ masrūr āñkhoñ meñ na.e armāñ jagā.e haiñ
yahāñ ma.asūm hoñToñ se tarāne ham ne gaa.e haiñ
tire saa.e meñ bachpan kī suhānī yādgāreñ haiñ
hamāre ahd-e-gum-gashta ke lamhoñ kī qatāreñ haiñ
yahāñ se dostī kī kitnī tāmīreñ uThā.ī haiñ
rafāqat kī hayāt-afroz duniyā.eñ basā.ī haiñ
yahāñ par shoḳhiyoñ kī be-karāñ maujeñ bahā.īñ haiñ
yahāñ bazmeñ sajā.ī haiñ yahāñ dhūmeñ machā.ī haiñ
tire pahlū meñ kitnī hī anokhī vārdāteñ haiñ
tire hoñToñ pe kitnī hī tabassum-rez bāteñ haiñ
tire dāman se ham ne qīmtī lamhāt paa.e haiñ
ḳhulūs-o-unsiyat ke be-bahā jazbāt paa.e haiñ
tire sāġhar se ham ne faiz ke jur.āt paa.e haiñ
hamārī fikr ne tujh hī se rujhānāt paa.e haiñ
tujhe pā kar jo paayā hai use ham kho nahīñ sakte
tire haiñ tere apne haiñ parā.e ho nahīñ sakte
na.e sāzoñ pe jab tere tarāne gaa.e jā.eñge
na.e ġhunche tire gulzār meñ jab muskurā.eñge
na.ī kirnoñ se jab tere darīche jagmagā.eñge
na.e armān jab tujh meñ na.ī jannat basā.eñge
na.e sāthī tire āñgan meñ jab dhūmeñ machā.eñge
to shāyad ham bhī ai schōl tujh ko yaad ā.eñge
ye maanā zindagī ham ko bahut masrūf kar degī
hamāre zehn ko duniyā ke andāzoñ se bhar degī
hazāroñ mas.aloñ par dāvat-e-fikr-o-nazar degī
ki jab thoḌī sī mohlat gardish-e-shām-o-sahar degī
ġham-e-daurāñ se jab bhī fursat-e-yak-lamha pā.eñge
tirī yādoñ meñ kho jā.eñge ḳhud ko bhuul jā.eñge
laDakpan ki rafiq ai ham-nawa-e-naghma-e-tifli
hamari gyarah sala zindagi ki dil-nashin wadi
hamare zehn ki taKHil ki ehsas ki sathi
hamare zauq ki rahbar hamari aql ki hadi
hamare daman-e-afkar par tera hi saya hai
KHusha school ki hum ne tujhi se faiz paya hai
hamari dhaDkanen tere hi baam-o-dar mein pinhan hain
tere mahaul mein hum sab ke mahsusat ghaltan hain
hamari aarzuen tere dalanon mein raqsan hain
nuqush-e-ahd-e-rafta tere mathe par numayan hain
hamare waste tu ek lafani masarrat hai
hamein school tere zarre zarre se mohabbat hai
tere aaghosh mein bachpan ke hum ne din bitae hain
tere aangan mein kitna roe kitna muskurae hain
yahan masrur aankhon mein nae arman jagae hain
yahan masum honTon se tarane hum ne gae hain
tere sae mein bachpan ki suhani yaadgaren hain
hamare ahd-e-gum-gashta ke lamhon ki qataren hain
yahan se dosti ki kitni tamiren uThai hain
rafaqat ki hayat-afroz duniyaen basai hain
yahan par shoKHiyon ki be-karan maujen bahain hain
yahan bazmen sajai hain yahan dhumen machai hain
tere pahlu mein kitni hi anokhi wardaten hain
tere honTon pe kitni hi tabassum-rez baaten hain
tere daman se hum ne qimti lamhat pae hain
KHulus-o-unsiyat ke be-baha jazbaat pae hain
tere saghar se hum ne faiz ke juraat pae hain
hamari fikr ne tujh hi se rujhanat pae hain
tujhe pa kar jo paya hai use hum kho nahin sakte
tere hain tere apne hain parae ho nahin sakte
nae sazon pe jab tere tarane gae jaenge
nae ghunche tere gulzar mein jab muskuraenge
nai kirnon se jab tere dariche jagmagaenge
nae arman jab tujh mein nai jannat basaenge
nae sathi tere aangan mein jab dhumen machaenge
to shayad hum bhi ai school tujh ko yaad aaenge
ye mana zindagi hum ko bahut masruf kar degi
hamare zehn ko duniya ke andazon se bhar degi
hazaron masalon par dawat-e-fikr-o-nazar degi
ki jab thoDi si mohlat gardish-e-sham-o-sahar degi
gham-e-dauran se jab bhi fursat-e-yak-lamha paenge
teri yaadon mein kho jaenge KHud ko bhul jaenge
Source :
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 183)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.