shua-e-id
chand lamhāt ki har saal chale aate haiñ
jaise sahrā meñ gulāboñ kī mahak aa jaa.e
jaise zulmat meñ ujāloñ kī khanak aa jaa.e
jaise aa jaa.e tasavvur meñ koī zohra-jabīñ
jaise tārīk fazāoñ meñ sitāroñ kā jamāl
jaise ik dard bhare dil meñ masarrat kā ḳhayāl
jaise bichhḌe hue hamrāz ke milne kā yaqīñ
jaise tālāb ke siine pe khile koī kañval
jaise ho niiñd ke raste meñ koī ḳhvāb-mahal
jaise fankār ke taḳh.īl meñ ik nafs hasīñ
jaise phūloñ ke laboñ par ho tabassum kī lakīr
jaise ik din ko shahanshāh faqīr ibn-e-faqīr
jaise aa jaa.e sar-e-bām koī parda-nashīñ
jaise sangīt pe naġhmoñ kī sisaktī lahreñ
jaise hoñ shaam ke dāman meñ shafaq kī lahreñ
jaise be-rañg fasāne meñ koī lafz-e-hasīñ
jaise peshānī-e-mashriq pe ho sub.h-e-kāzib
jaise tārīk ḳhalāoñ meñ shahāb-e-sāqib
jaise bhūle se chalā aa.e koī dil ke qarīñ
kitnī sadiyoñ se bahar-hāl chale aate haiñ
chand lamhāt jinheñ iid kahā jaatā hai
chand lamhat ki har sal chale aate hain
jaise sahra mein gulabon ki mahak aa jae
jaise zulmat mein ujalon ki khanak aa jae
jaise aa jae tasawwur mein koi zohra-jabin
jaise tarik fazaon mein sitaron ka jamal
jaise ek dard bhare dil mein masarrat ka KHayal
jaise bichhDe hue hamraaz ke milne ka yaqin
jaise talab ke sine pe khile koi kanwal
jaise ho nind ke raste mein koi KHwab-mahal
jaise fankar ke taKHil mein ek nafs hasin
jaise phulon ke labon par ho tabassum ki lakir
jaise ek din ko shahanshah faqir ibn-e-faqir
jaise aa jae sar-e-baam koi parda-nashin
jaise sangit pe naghmon ki sisakti lahren
jaise hon sham ke daman mein shafaq ki lahren
jaise be-rang fasane mein koi lafz-e-hasin
jaise peshani-e-mashriq pe ho subh-e-kazib
jaise tarik KHalaon mein shahab-e-saqib
jaise bhule se chala aae koi dil ke qarin
kitni sadiyon se bahar-haal chale aate hain
chand lamhat jinhen id kaha jata hai
- Book : KHuli kitab (Pg. 102)
- Author : Masuud maikash muradabadi
- Publication : Adbi Miaar Publications (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.