sarkari aur ghair-sarkari do iden
Interesting Fact
About ten or fifteen years ago, on the last night of the holy month of Ramadan, at ten o'clock in the night, Radio Pakistan suddenly announced that the sighting of the crescent has taken place. Tomorrow is Eid. A few minutes later, preachers from various Mosques announced from their loudspeakers that this news is wrong. In this way, some families fasted and some celebrated Eid.
radio ne das baje shab ke ḳhabar dī iid kī
ālimoñ ne raat bhar is news kī tardīd kī
radio kahtā thā sun lo kal hamārī iid hai
aur aalim kahte the ye ġhair-shara.ī iid hai
do dhaḌoñ meñ baT ga.e the mulk ke saare avaam
us taraf sab muqtadī the is taraf saare imaam
beTā kahtā thā ki kal shaitān roza rakkhegā
baap bolā terā abbā jaan roza rakkhegā
beTā kahtā thā ki maiñ sarkārī afsar huuñ janāb
roza rakkhūñgā to mujh se māñgā jā.egā javāb
baap kahtā thā ki phir yuuñ baam par īmāñ ke chaḌh
roza bhī rakh aur roze meñ namāz-e-īd paḌh
aaj kitnā farq ful stop aur comme meñ thā
baap kā roza thā beTā iid ke jaame meñ thā
iḳhtilāf is baat par bhī qaum meñ paayā gayā
chāñd ḳhud niklā thā yā jabran nikalvāyā gayā
radio ne das baje shab ke KHabar di id ki
aalimon ne raat bhar is news ki tardid ki
radio kahta tha sun lo kal hamari id hai
aur aalim kahte the ye ghair-sharai id hai
do dhaDon mein baT gae the mulk ke sare awam
us taraf sab muqtadi the is taraf sare imam
beTa kahta tha ki kal shaitan roza rakkhega
bap bola tera abba jaan roza rakkhega
beTa kahta tha ki main sarkari afsar hun janab
roza rakkhunga to mujh se manga jaega jawab
bap kahta tha ki phir yun baam par iman ke chaDh
roza bhi rakh aur roze mein namaz-e-id paDh
aaj kitna farq ful stop aur comme mein tha
bap ka roza tha beTa id ke jame mein tha
iKHtilaf is baat par bhi qaum mein paya gaya
chand KHud nikla tha ya jabran nikalwaya gaya
- Book : کلیات دلاور فگار (Pg. 397)
- Author : دلاور فگار
- Publication : فرید بکڈپو(پرائیویٹ ) لمیٹڈ (2003)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.