eid milan
bichhḌe huoñ ko bichhḌe huoñ se milā.e hai
har samt eid jashn-e-mohabbat manā.e hai
insāniyat kī peñg mohabbat baḌhā.e hai
mausam har ik umiid ko jhūlā jhulā.e hai
bārish meñ khet aisī tarah se nahā.e hai
raunaq har ik kisān ke chehre pe aa.e hai
ham sab ko apne ghere meñ lene ke vāste
chāroñ taraf se ghir ke ghaTā aaj aa.e hai
haivāniyat ne ḳhuun ke dhabbe janam diye
barsāt aa ke ḳhuun ke dhabbe chhuḌā.e hai
shahzādī-e-bahār kī aamad hai baaġh meñ
har ek phuul raah meñ āñkheñ bichhā.e hai
hai kitnī pyārī pyaar bharī eid kī adā
apnā samajh ke sab ko gale se lagā.e hai
sach pūchhiye to ye bhī mohabbat kā hai subūt
jo raa.e aap kī hai vahī merī raa.e hai
bauchhāreñ aa ke detī haiñ us ko salāmiyāñ
bansī bajā bajā ke jo mela lagā.e hai
maiñ jā.ūñgā to phir kabhī vāpas na ā.ūñgā
kaalī ghaTā to har baras aa.e hai jaa.e hai
eid-ul-fitar kī vaj.h-e-sharāfat to dekhiye
har saal aa ke sab ko gale se lagā.e hai
diije duā.eñ eid kī tyauhār ko 'nazīr'
ik bhiiḌ aaj aap se milne ko aa.e hai
bichhDe huon ko bichhDe huon se milae hai
har samt eid jashn-e-mohabbat manae hai
insaniyat ki peng mohabbat baDhae hai
mausam har ek umid ko jhula jhulae hai
barish mein khet aisi tarah se nahae hai
raunaq har ek kisan ke chehre pe aae hai
hum sab ko apne ghere mein lene ke waste
chaaron taraf se ghir ke ghaTa aaj aae hai
haiwaniyat ne KHun ke dhabbe janam diye
barsat aa ke KHun ke dhabbe chhuDae hai
shahzadi-e-bahaar ki aamad hai bagh mein
har ek phul rah mein aankhen bichhae hai
hai kitni pyari pyar bhari eid ki ada
apna samajh ke sab ko gale se lagae hai
sach puchhiye to ye bhi mohabbat ka hai subut
jo rae aap ki hai wahi meri rae hai
bauchhaaren aa ke deti hain us ko salamiyan
bansi baja baja ke jo mela lagae hai
main jaunga to phir kabhi wapas na aaunga
kali ghaTa to har baras aae hai jae hai
eid-ul-fitar ki wajh-e-sharafat to dekhiye
har sal aa ke sab ko gale se lagae hai
dije duaen eid ki tyauhaar ko 'nazir'
ek bhiD aaj aap se milne ko aae hai
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 389)
- Author : Nazeer Banarsi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.