eid ki KHaridari
musalmāñ qarz le kar eid kā sāmāñ ḳharīdeñge
jo daanā haiñ vo becheñge jo haiñ nādāñ ḳharīdeñge
jo sayyāñ shauq se khā.eñ vo sivayyāñ ḳharīdeñge
murkkab suud kā saudā ba-naqd-e-jāñ ḳharīdeñge
musalmānoñ ke sar par jab mah-e-shavvāl aatā hai
to un kī iqtisādiyāt meñ bhauñchāl aatā hai
baham dast-o-garebāñ sales-man aur un ke gāhak haiñ
vo ġhul barpā hai jaise naġhma-zan chauhaḌ meñ meñDak haiñ
mizājan roza-dār-e-shām bārūd aur gandhak haiñ
aur un meñ nazm aur zabt aur ravā-dārī yahāñ tak haiñ
ki shiddat bhuuk kī aur pyaas kī aise miTāte haiñ
ba-zo.am-e-roza abnā-e-vatan ko kaaT khāte haiñ
jo mujh aise haiñ riñd un ko bhī zo.am-e-pārsā.ī hai
aur is mazmūn kī ik dāvat-e-iftār aa.ī hai
ki ik chālīs-sāla tifl kī roza-kushā.ī hai
farishte is pe hairāñ dam-ba-ḳhud saarī ḳhudā.ī hai
ḳhudāvand-e-do-ālam se vo ye bevpār karte haiñ
jo rakkhā hī nahīñ roza use iftār karte haiñ
miyāñ biivī chale bāzār ko bahr-e-ḳharīdārī
miThā.ī phal sivayyāñ itr juute gosht tarkārī
jo shai biivī ne lī vo dosh par shauhar ke de maarī
vo be-chāra to ḳhachchar hai barā.e bār-bardārī
ba-zor-e-qarz dūkānoñ pe itnā fazl-e-bārī hai
ki is ghamsān meñ insān par insān taarī hai
liyā biivī ne shauhar ke liye juutā jo arzāñ hai
vo amrīkī madad kī tarah us ke sar pe ehsāñ hai
ki is se fā.eda pahuñchegā us ko jis kī dūkāñ hai
aur us shauhar kā juutā ḳhud usī ke sar pe raqsāñ hai
ye sūrat dekh kar kahte haiñ akasr dil meñ bin-byāhe
''dil o diiñ naqd lā saaqī se gar saudā kiyā chāhe''
jo silne ko diye kapḌe vo haiñ sab habs-e-bejā meñ
ki darzī chhup gayā jab atlas-o-kamḳhvāb-o-dībā meñ
to readymade kapḌoñ kī dukāneñ jhāñktā thā maiñ
falak par qīmateñ laTkī huī thiiñ shāḳh-e-tūbā meñ
mubārak maah ke andar hamīñ se naf.a-ḳhorī hai
nahīñ hotā hai bātil jis se roza ye vo chorī hai
ye sivayyāñ jo bal khātī huī me.ade meñ jā.eñgī
siyāsī guththiyoñ ko aur uljhānā sikhā.eñgī
hamārī aane vaalī nasl ke leader banā.eñgī
jo leader ban chuke haiñ ebdo un ko karā.eñgī
''qad o gesū meñ qais-o-kohkan kī āzmā.ish hai
jahāñ ham haiñ vahāñ dār-o-rasan kī āzmā.ish hai''
mahīne bhar ke rozoñ ba.ad haq ne din ye dikhlāyā
alal-ailān khāyā dostoñ ke saath jo paayā
ye pahle Dar thā ham ko jhāñk kar dekhe na ham-sāya
ba-juz ḳhauf-e-ḳhudā din meñ ba-zāhir kuchh na thā khāyā
hasīnoñ mah-vashoñ ko ab sar-e-bāzār dekheñge
ga.e vo din ki kahte the pas-az-iftār dekheñge
musalman qarz le kar eid ka saman KHaridenge
jo dana hain wo bechenge jo hain nadan KHaridenge
jo sayyan shauq se khaen wo siwayyan KHaridenge
murkkab sud ka sauda ba-naqd-e-jaan KHaridenge
musalmanon ke sar par jab mah-e-shawwal aata hai
to un ki iqtisadiyat mein bhaunchaal aata hai
baham dast-o-gareban sales-man aur un ke gahak hain
wo ghul barpa hai jaise naghma-zan chauhaD mein meinDak hain
mizajan roza-dar-e-sham barud aur gandhak hain
aur un mein nazm aur zabt aur rawa-dari yahan tak hain
ki shiddat bhuk ki aur pyas ki aise miTate hain
ba-zoam-e-roza abna-e-watan ko kaT khate hain
jo mujh aise hain rind un ko bhi zoam-e-parsai hai
aur is mazmun ki ek dawat-e-iftar aai hai
ki ek chaalis-sala tifl ki roza-kushai hai
farishte is pe hairan dam-ba-KHud sari KHudai hai
KHudawand-e-do-alam se wo ye bewpar karte hain
jo rakkha hi nahin roza use iftar karte hain
miyan biwi chale bazar ko bahr-e-KHaridari
miThai phal siwayyan itr jute gosht tarkari
jo shai biwi ne li wo dosh par shauhar ke de mari
wo be-chaara to KHachchar hai barae bar-bardari
ba-zor-e-qarz dukanon pe itna fazl-e-bari hai
ki is ghamsan mein insan par insan tari hai
liya biwi ne shauhar ke liye juta jo arzan hai
wo amriki madad ki tarah us ke sar pe ehsan hai
ki is se faeda pahunchega us ko jis ki dukan hai
aur us shauhar ka juta KHud usi ke sar pe raqsan hai
ye surat dekh kar kahte hain akasr dil mein bin-byahe
dil o din naqd la saqi se gar sauda kiya chahe
jo silne ko diye kapDe wo hain sab habs-e-beja mein
ki darzi chhup gaya jab atlas-o-kamKHwab-o-diba mein
to readymade kapDon ki dukanen jhankta tha main
falak par qimaten laTki hui thin shaKH-e-tuba mein
mubarak mah ke andar hamin se nafa-KHori hai
nahin hota hai baatil jis se roza ye wo chori hai
ye siwayyan jo bal khati hui meade mein jaengi
siyasi guththiyon ko aur uljhana sikhaengi
hamari aane wali nasl ke leader banaengi
jo leader ban chuke hain ebdo un ko karaengi
qad o gesu mein qais-o-kohkan ki aazmaish hai
jahan hum hain wahan dar-o-rasan ki aazmaish hai
mahine bhar ke rozon baad haq ne din ye dikhlaya
alal-ailan khaya doston ke sath jo paya
ye pahle Dar tha hum ko jhank kar dekhe na ham-saya
ba-juz KHauf-e-KHuda din mein ba-zahir kuchh na tha khaya
hasinon mah-washon ko ab sar-e-bazar dekhenge
gae wo din ki kahte the pas-az-iftar dekhenge
- Book : Shokhi-e-Tahrir (Pg. 99)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Malik Norani, Maktaba Daniyal Viktoria Chaimber, 20, Abdullah Haroon Road, Sadar Krachi (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.