eid
gaañv meñ eid phirā kartī thī galiyāñ galiyāñ
aur is shahar meñ thak kar yūñhī so jaatī hai
pahle hañstī thī hañsātī thī khelātī thī mujhe
ab to vo paas bhī aatī hai to ro jaatī hai
kitnī mastāna sī thī eid mire bachpan kī
ab ḳhayāloñ meñ bhī laatā huuñ to kho jaatī hai
ham kabhī eid manāte the manāne kī tarah
ab to bas vaqt guzartā hai to ho jaatī hai
ham baḌe hote ga.e eid kā bachpan na gayā
ye to bachchoñ kī hai bachchoñ hī kī ho jaatī hai
ganw mein eid phira karti thi galiyan galiyan
aur is shahar mein thak kar yunhi so jati hai
pahle hansti thi hansati thi khelati thi mujhe
ab to wo pas bhi aati hai to ro jati hai
kitni mastana si thi eid mere bachpan ki
ab KHayalon mein bhi lata hun to kho jati hai
hum kabhi eid manate the manane ki tarah
ab to bas waqt guzarta hai to ho jati hai
hum baDe hote gae eid ka bachpan na gaya
ye to bachchon ki hai bachchon hi ki ho jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.